Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahte hue dariya ke kinaron ki tarah tha

Wafa Naqvi

bahte hue dariya ke kinaron ki tarah tha

Wafa Naqvi

MORE BYWafa Naqvi

    bahte hue dariyā ke kināroñ tarah thā

    tujh se mirā rishta kabhī ḳhvāboñ tarah thā

    bistar pe utar aa.ī thiiñ mahtāb kirneñ

    lahja tirā kal raat ujāloñ tarah thā

    maiñ us ko paḌhā kartā thā har raat bahut der

    vo shaḳhs mire paas kitāboñ tarah thā

    kyā lams thā kyā zulf thī kyā surḳhī-e-lab thī

    har rañg tirā jaise sharāboñ tarah thā

    kuchh der ko ḳhush kar ke chale saare jahāñ ko

    kyā apnā ta.alluq bhī tamāshoñ tarah thā

    duniyā ne bahut chāhā ki naam us batā duuñ

    vo dafn thā mujh meñ mire rāzoñ tarah thā

    khone nahīñ detā thā mujhe bhiiḌ meñ ehsās

    jakḌe hue mujh ko tirī bāñhoñ tarah thā

    bahte hue dariya ke kinaron ki tarah tha

    tujh se mera rishta kabhi KHwabon ki tarah tha

    bistar pe utar aai thin mahtab ki kirnen

    lahja tera kal raat ujalon ki tarah tha

    main us ko paDha karta tha har raat bahut der

    wo shaKHs mere pas kitabon ki tarah tha

    kya lams tha kya zulf thi kya surKHi-e-lab thi

    har rang tera jaise sharabon ki tarah tha

    kuchh der ko KHush kar ke chale sare jahan ko

    kya apna talluq bhi tamashon ki tarah tha

    duniya ne bahut chaha ki nam us ka bata dun

    wo dafn tha mujh mein mere raazon ki tarah tha

    khone nahin deta tha mujhe bhiD mein ehsas

    jakDe hue mujh ko teri banhon ki tarah tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now