bahut be-samt hota ja raha hai
bahut be-samt hotā jā rahā hai
safar ab lutf khotā jā rahā hai
zarā samjhā.e koī nāḳhudā ko
safīne ko Dubotā jā rahā hai
nahīñ koī dilāsā dene vaalā
magar dil hai ki rotā jā rahā hai
bahut bhārī huā sāñsoñ kā dhāga
koī aañsū pirotā jā rahā hai
kisī ne rakh diyā hai bār-e-hastī
koī chup-chāp Dhotā jā rahā hai
mire maazī kā ik namnāk lamha
mirā dāman bhigotā jā rahā hai
bahut be-samt hota ja raha hai
safar ab lutf khota ja raha hai
zara samjhae koi naKHuda ko
safine ko Dubota ja raha hai
nahin koi dilasa dene wala
magar dil hai ki rota ja raha hai
bahut bhaari hua sanson ka dhaga
koi aansu pirota ja raha hai
kisi ne rakh diya hai bar-e-hasti
koi chup-chap Dhota ja raha hai
mere mazi ka ek namnak lamha
mera daman bhigota ja raha hai
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 35)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.