aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut dinon se khula dar talash karta hun

Kanval Ziai

bahut dinon se khula dar talash karta hun

Kanval Ziai

MORE BYKanval Ziai

    bahut dinoñ se khulā dar talāsh kartā huuñ

    maiñ apne ghar meñ khaḌā ghar talāsh kartā huuñ

    palak pe qatra-e-shabnam uThā.e sadiyoñ se

    tire karam samundar talāsh kartā huuñ

    nazar meñ jiit tasdīq savāl liye

    galī galī meñ sikandar talāsh kartā huuñ

    badan badan se ḳhulūs-o-vafā ḳhushbūeñ

    maiñ sūñgh kar nahīñ chhūkar talāsh kartā huuñ

    laboñ pyaas bujhāne ke vāste saaqī

    kisī buzurg sāġhar talāsh kartā huuñ

    javāharāt ke ik Dher par khaḌā ho kar

    na.ī pasand patthar talāsh kartā huuñ

    āñdhiyoñ ke tashaddud baat kartā hai

    maiñ apne TuuTe hue par talāsh kartā huuñ

    bahut dinon se khula dar talash karta hun

    main apne ghar mein khaDa ghar talash karta hun

    palak pe qatra-e-shabnam uThae sadiyon se

    tere karam ka samundar talash karta hun

    nazar mein jit ki tasdiq ka sawal liye

    gali gali mein sikandar talash karta hun

    badan badan se KHulus-o-wafa ki KHushbuen

    main sungh kar nahin chhukar talash karta hun

    labon ki pyas bujhane ke waste saqi

    kisi buzurg ka saghar talash karta hun

    jawaharaat ke ek Dher par khaDa ho kar

    nai pasand ka patthar talash karta hun

    tu aandhiyon ke tashaddud ki baat karta hai

    main apne TuTe hue par talash karta hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now