Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut dinon se kisi ke gulu ka pyasa hai

Maikash Ajmeri

bahut dinon se kisi ke gulu ka pyasa hai

Maikash Ajmeri

MORE BYMaikash Ajmeri

    bahut dinoñ se kisī ke gulū pyāsā hai

    bacho ki ḳhanjar-e-qātil lahū pyāsā hai

    shabāb apnā chhupā le to mere dāman meñ

    har ek shaḳhs tirī aabrū pyāsā hai

    javāñ huā hai mirī shafqatoñ ke saa.e meñ

    vo shaḳhs aaj jo mere lahū pyāsā hai

    vo aam chehroñ mushtāq ho nahīñ saktā

    jo zauq-e-dīd kisī ḳhūb-rū pyāsā hai

    abhī bhī guuñj rahī hai fazā meñ terī sadā

    abhī bhī zehn tirī guftugū pyāsā hai

    bahut dinon se kisi ke gulu ka pyasa hai

    bacho ki KHanjar-e-qatil lahu ka pyasa hai

    shabab apna chhupa le to mere daman mein

    har ek shaKHs teri aabru ka pyasa hai

    jawan hua hai meri shafqaton ke sae mein

    wo shaKHs aaj jo mere lahu ka pyasa hai

    wo aam chehron ka mushtaq ho nahin sakta

    jo zauq-e-did kisi KHub-ru ka pyasa hai

    abhi bhi gunj rahi hai faza mein teri sada

    abhi bhi zehn teri guftugu ka pyasa hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now