Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut hain shahr mein shair fasana-go fankar

Bashir Badr

bahut hain shahr mein shair fasana-go fankar

Bashir Badr

MORE BYBashir Badr

    bahut haiñ shahr meñ shā'ir fasāna-go fankār

    magar kahāñ hai koī ġham-nasīb ġham-ḳhvār

    ye dasht-e-ġham tapish besh-az-azābannār

    na koī chhāñv ghanī hai na sāya-e-dīvār

    za-farq-tā-ba-qadam ek mauja-e-mai-e-nāb

    takallumash ki baje jaise chāñdnī meñ sitār

    baḌī ḳhamoshī se dil chūr-chūr hotā hai

    shikast-e-shīsha-o-sāġhar nahīñ jo ho jhankār

    tamām raat maiñ ḳhvāboñ meñ jāgtā rahā

    chaḌhā huā hai in āñkhoñ meñ raat bhar ḳhumār

    tamām dostoñ e'tibār chhīn liyā

    us ajnabī ne nahīñ jis se koī qaul-o-qarār

    azal tishnagī-e-dil ko kar ga.ī sairāb

    ye terī narm-nigāhī narm narm phuvār

    yahāñ to saaz maujoñ meñ bazm Duubī hai

    sunegā kaun bhalā ik ġharīb dil pukār

    bahut hain shahr mein sha'ir fasana-go fankar

    magar kahan hai koi gham-nasib ka gham-KHwar

    ye dasht-e-gham ki tapish besh-az-azabannar

    na koi chhanw ghani hai na saya-e-diwar

    za-farq-ta-ba-qadam ek mauja-e-mai-e-nab

    takallumash ki baje jaise chandni mein sitar

    baDi KHamoshi se dil chur-chur hota hai

    shikast-e-shisha-o-saghar nahin jo ho jhankar

    tamam raat main KHwabon mein jagta hi raha

    chaDha hua hai in aankhon mein raat bhar ka KHumar

    tamam doston ka e'tibar chhin liya

    us ajnabi ne nahin jis se koi qaul-o-qarar

    azal ki tishnagi-e-dil ko kar gai sairab

    ye teri narm-nigahi ki narm narm phuwar

    yahan to saz ki maujon mein bazm Dubi hai

    sunega kaun bhala ek gharib dil ki pukar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now