Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut hasin the tum aur bahut jawan the hum

Ashfaq Amir

bahut hasin the tum aur bahut jawan the hum

Ashfaq Amir

MORE BYAshfaq Amir

    bahut hasīn the tum aur bahut javāñ the ham

    ik iztirāb-e-musalsal dāstāñ the ham

    ab is jagah pe haiñ kuchh aur chāhne vaale

    vo ek baaġh gosha ki kal jahāñ the ham

    hamārī āñkhoñ se zulmat dil laraztā thā

    tulūa-e-mahr-e-munavvar ke rāz-dāñ the ham

    hamāre hāthoñ se ab tak mahak aatī hai

    ye kal baat hai phūloñ ke darmiyāñ the ham

    machaltī rahtī thī dil meñ uḌaan ḳhvāhish

    ḳhud apne sar pe ḳhayāloñ āsmāñ the ham

    bikhar ga.e to bhaTakte hue musāfir haiñ

    vo jin rutoñ meñ chale the to kārvāñ the ham

    bahut hasin the tum aur bahut jawan the hum

    ek iztirab-e-musalsal ki dastan the hum

    ab is jagah pe hain kuchh aur chahne wale

    wo ek bagh ka gosha ki kal jahan the hum

    hamari aankhon se zulmat ka dil larazta tha

    tulua-e-mahr-e-munawwar ke raaz-dan the hum

    hamare hathon se ab tak mahak si aati hai

    ye kal ki baat hai phulon ke darmiyan the hum

    machalti rahti thi dil mein uDan ki KHwahish

    KHud apne sar pe KHayalon ka aasman the hum

    bikhar gae to bhaTakte hue musafir hain

    wo jin ruton mein chale the to karwan the hum

    Source:

    رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 67)

    • Author: اشفاق عامر
      • Publisher: عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now