Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut kaThin hai Dagar thoDi dur sath chalo

Hidayatullah Khan Shamsi

bahut kaThin hai Dagar thoDi dur sath chalo

Hidayatullah Khan Shamsi

MORE BYHidayatullah Khan Shamsi

    bahut kaThin hai Dagar thoḌī duur saath chalo

    na.ī hai rāhguzar thoḌī duur saath chalo

    hayāt bikhrī huī hai sameT lene do

    maiñ luuñ chāk-e-jigar thoḌī duur saath chalo

    abhī to duur hai manzil udaas raste haiñ

    abhī na phero nazar thoḌī duur saath chalo

    ḳhumār-e-ishq hai baaqī rag-e-shikasta meñ

    nasha ye jaa.e utar thoḌī duur saath chalo

    na aarzū na koī hausla na manzil hai

    tumhī ho zauq-e-safar thoḌī duur saath chalo

    siyāh raat musallat hai dil duniyā par

    matā-e-nūr-e-sahar thoḌī duur saath chalo

    na jaane Dor ye sāñsoñ TuuT jaa.e kab

    kise hai us ḳhabar thoḌī duur saath chalo

    tamām umr mirā saath de na pāoge

    abhī to yaar magar thoḌī duur saath chalo

    bahut kaThin hai Dagar thoDi dur sath chalo

    nai hai rahguzar thoDi dur sath chalo

    hayat bikhri hui hai sameT lene do

    main si lun chaak-e-jigar thoDi dur sath chalo

    abhi to dur hai manzil udas raste hain

    abhi na phero nazar thoDi dur sath chalo

    KHumar-e-ishq hai baqi rag-e-shikasta mein

    nasha ye jae utar thoDi dur sath chalo

    na aarzu na koi hausla na manzil hai

    tumhi ho zauq-e-safar thoDi dur sath chalo

    siyah raat musallat hai dil ki duniya par

    mata-e-nur-e-sahar thoDi dur sath chalo

    na jaane Dor ye sanson ki TuT jae kab

    kise hai us ki KHabar thoDi dur sath chalo

    tamam umr mera sath de na paoge

    abhi to yar magar thoDi dur sath chalo

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now