Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut KHajil hain ki hum raegan bhi zinda rahe

Irfan Sattar

bahut KHajil hain ki hum raegan bhi zinda rahe

Irfan Sattar

MORE BYIrfan Sattar

    bahut ḳhajil haiñ ki ham rā.egāñ bhī zinda rahe

    jahāñ pe bhī nahīñ thā vahāñ bhī zinda rahe

    ajiib shart hai is be-yaqīñ mizāj bhī

    ki bhī paas ho terā gumāñ bhī zinda rahe

    tujhe pe zid hai magar is tarah nahīñ hotā

    ki bhī zinda rahe dāstāñ bhī zinda rahe

    vo kaun log the jin vajūd jism se thā

    ye kaun haiñ jo pas-e-jism-o-jāñ bhī zinda rahe

    jo ye na ho to suḳhan koī javāz nahīñ

    zamīr zinda rahe to zabāñ bhī zinda rahe

    ye kā.enāt faqat manfa.at naam nahīñ

    koī yahāñ pe barā.e ziyāñ bhī zinda rahe

    adam meñ jo bhī nahīñ thā vo sab vajūd meñ thā

    ye ham the jo kahīñ darmiyāñ bhī zinda rahe

    bahut KHajil hain ki hum raegan bhi zinda rahe

    jahan pe tu bhi nahin tha wahan bhi zinda rahe

    ajib shart hai is be-yaqin mizaj ki bhi

    ki tu bhi pas ho tera guman bhi zinda rahe

    tujhe pe zid hai magar is tarah nahin hota

    ki tu bhi zinda rahe dastan bhi zinda rahe

    wo kaun log the jin ka wajud jism se tha

    ye kaun hain jo pas-e-jism-o-jaan bhi zinda rahe

    jo ye na ho to suKHan ka koi jawaz nahin

    zamir zinda rahe to zaban bhi zinda rahe

    ye kaenat faqat manfat ka nam nahin

    koi yahan pe barae ziyan bhi zinda rahe

    adam mein jo bhi nahin tha wo sab wajud mein tha

    ye hum hi the jo kahin darmiyan bhi zinda rahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now