Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut qarib hai wo husn-e-aftab-numa

Moazzam Ali Khan

bahut qarib hai wo husn-e-aftab-numa

Moazzam Ali Khan

MORE BYMoazzam Ali Khan

    bahut qarīb hai vo husn-e-āftāb-numā

    visāl-e-yār bhī hone lagā azāb-numā

    tamām phūloñ ḳhushbū imtizāj hai vo

    dayār-e-husn meñ ik shaḳhs hai gulāb-numā

    har ek lafz qismat usī meñ likkhī hai

    vo ik hasīn chehra jo hai kitāb-numā

    ḳhumār-e-bāda se hai muḳhtalif mizāj us

    chhiTak rahā hai ye āñkhoñ se kyā sharāb-numā

    ham us ke chehre se us ko samajh nahīñ sakte

    ta.assur-e-ruḳh-e-rangīñ bhī hai naqāb-numā

    junūñ-navāz hai zikr-e-ḳhirad āḳhir kyoñ

    tumhāre lahje meñ kyā chiiz hai sarāb-numā

    bahut qarib hai wo husn-e-aftab-numa

    visal-e-yar bhi hone laga azab-numa

    tamam phulon ki KHushbu ka imtizaj hai wo

    dayar-e-husn mein ek shaKHs hai gulab-numa

    har ek lafz ki qismat usi mein likkhi hai

    wo ek hasin sa chehra jo hai kitab-numa

    KHumar-e-baada se hai muKHtalif mizaj us ka

    chhiTak raha hai ye aankhon se kya sharab-numa

    hum us ke chehre se us ko samajh nahin sakte

    tassur-e-ruKH-e-rangin bhi hai naqab-numa

    junun-nawaz hai zikr-e-KHirad hi aaKHir kyon

    tumhaare lahje mein kya chiz hai sarab-numa

    Source:

    Harf-e-Aainda (Pg. 40)

    • Author: Moazzam Ali Khan
      • Publisher: Moazzam Ali Khan
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now