bahut rangin dilkash hai majazi pyar ki duniya
bahut rañgīn dilkash hai majāzī pyaar kī duniyā
ubharne hī nahīñ detī lab-o-ruḳhsār kī duniyā
zamāna se judā kar de haqīqat ko fanā kar de
faqat ḳhvāboñ meñ le jaa.e hasīñ dildār kī duniyā
yahāñ jhūToñ kā mela hai jo bole sach akelā hai
yaqīñ gar hai nahīñ dekho zarā aḳhbār kī duniyā
ġharīboñ ko satātī hai amīroñ ko banātī hai
laḌā kar sirf insāñ ko chale sarkār kī duniyā
talab sūraj kī mat karnā na dāman aag se bharnā
charāġhoñ se munavvar tum karo ghar-bār kī duniyā
zarūrat DhūñDh letī hai ki rasta mil hī jaatā hai
kare aadam agar koshish khule asrār kī duniyā
bahut rangin dilkash hai majazi pyar ki duniya
ubharne hi nahin deti lab-o-ruKHsar ki duniya
zamana se juda kar de haqiqat ko fana kar de
faqat KHwabon mein le jae hasin dildar ki duniya
yahan jhuTon ka mela hai jo bole sach akela hai
yaqin gar hai nahin dekho zara aKHbar ki duniya
gharibon ko satati hai amiron ko banati hai
laDa kar sirf insan ko chale sarkar ki duniya
talab suraj ki mat karna na daman aag se bharna
charaghon se munawwar tum karo ghar-bar ki duniya
zarurat DhunDh leti hai ki rasta mil hi jata hai
kare aadam agar koshish khule asrar ki duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.