aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut raushan hum apna nayyar-e-taqdir dekhenge

Rahmat Ilahi Barq Aazmi

bahut raushan hum apna nayyar-e-taqdir dekhenge

Rahmat Ilahi Barq Aazmi

MORE BYRahmat Ilahi Barq Aazmi

    bahut raushan ham apnā nayyar-e-taqdīr dekheñge

    jab āġhosh-e-tasavvur meñ tirī tasvīr dekheñge

    harīm-e-dil ke girdā-gird vo tanvīr dekheñge

    jalāl-e-mehr-e-anvar ko bhī be-tauqīr dekheñge

    nigāh-e-dil se jis din usva-e-shabbīr dekheñge

    ḳhalīlullāh apne ḳhvāb ta.abīr dekheñge

    junūn-e-ishq ke ilzām meñ ai ḳhush-navā qumrī

    gale meñ ne dekhā tauq ham zanjīr dekheñge

    alam ho rañj ho ġham ho balā ho shādmānī ho

    jo ne likh diyā ai kātib-e-taqdīr dekheñge

    ḳhudā raah meñ sab kuchh luTā kar baiThne vaale

    ḳhudā kul ḳhudā.ī apnī jāgīr dekheñge

    mirā a.amāl-nāme dhul gayā ashk-e-nadāmat se

    farishte kyā kareñge kuchh na jab tahrīr dekheñge

    sitam-gāroñ ko mil jā.egā apne zulm badla

    kabhī āh-e-ġharībāñ ko na be-tāsīr dekheñge

    mohabbat binā ai 'barq' hai taḳhlīq aalam

    mohabbat ko har aalam meñ ālam-gīr dekheñge

    bahut raushan hum apna nayyar-e-taqdir dekhenge

    jab aaghosh-e-tasawwur mein teri taswir dekhenge

    harim-e-dil ke girda-gird wo tanwir dekhenge

    jalal-e-mehr-e-anwar ko bhi be-tauqir dekhenge

    nigah-e-dil se jis din uswa-e-shabbir dekhenge

    KHalilullah apne KHwab ki tabir dekhenge

    junun-e-ishq ke ilzam mein ai KHush-nawa qumri

    gale mein tu ne dekha tauq hum zanjir dekhenge

    alam ho ranj ho gham ho bala ho shadmani ho

    jo tu ne likh diya ai katib-e-taqdir dekhenge

    KHuda ki rah mein sab kuchh luTa kar baiThne wale

    KHuda ki kul KHudai apni hi jagir dekhenge

    mera aamal-name dhul gaya ashk-e-nadamat se

    farishte kya karenge kuchh na jab tahrir dekhenge

    sitam-garon ko mil jaega apne zulm ka badla

    kabhi aah-e-ghariban ko na be-tasir dekhenge

    mohabbat hi bina ai 'barq' hai taKHliq aalam ki

    mohabbat hi ko har aalam mein aalam-gir dekhenge

    Source:

    Tanveer-e-sukhan (Pg. 167)

    • Author: Rahmat ilahi barq Azmi
      • Edition: 2003
      • Publisher: Dr. Ahmed Ali Barqi Azmi, Zakir Nagar, New Delhi-25
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now