bahut ruswa kya is aashiqi ne har gali mujhko

Rauf Yasin Jalali

bahut ruswa kya is aashiqi ne har gali mujhko

Rauf Yasin Jalali

MORE BYRauf Yasin Jalali

  bahut rusvā kyā is āshiqī ne har galī mujh ko

  liye phirtī rahī har ye merī bekasī mujh ko

  chhupā.e se nahīñ chhuptī haqīqat khul jaatī hai

  sar-e-bāzār le aa.ī mirī dīvāngī mujh ko

  ḳhabar kyā thī yahī ik din qayāmat mujh pe Dhā.egī

  pasand aa.ī thī bachpan meñ tirī ye sādgī mujh ko

  nigāh-e-nāz ne un mujhe ik armuġhāñ baḳhshā

  milā darbār-e-ulfat se shu.ūr-e-zindagī mujh ko

  dil-o-jān-o-jigar qurbān maiñ ne kar diye saare

  rulātī rahī akasr tirī begānagī mujh ko

  'jalālī' jāda-e-ulfat meñ jab se hai qadam rakkhā

  rahī un ke tasavvur meñ hamesha bekalī mujh ko

  bahut ruswa kya is aashiqi ne har gali mujh ko

  liye phirti rahi har ja ye meri bekasi mujh ko

  chhupae se nahin chhupti haqiqat khul hi jati hai

  sar-e-bazar le aai meri diwangi mujh ko

  KHabar kya thi yahi ek din qayamat mujh pe Dhaegi

  pasand aai thi bachpan mein teri ye sadgi mujh ko

  nigah-e-naz ne un ki mujhe ek armughan baKHsha

  mila darbar-e-ulfat se shuur-e-zindagi mujh ko

  dil-o-jaan-o-jigar qurban main ne kar diye sare

  rulati hi rahi akasr teri beganagi mujh ko

  'jalali' jada-e-ulfat mein jab se hai qadam rakkha

  rahi un ke tasawwur mein hamesha bekali mujh ko

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY