bahut sarshaar tha apne sarasar josh mein dariya
bahut sarshaar tha apne sarasar josh mein dariya
Mirza Rahimuddin Haya
MORE BYMirza Rahimuddin Haya
bahut sarshār thā apne sarāsar josh meñ dariyā
tamāñche mauj ke khaa.e to aaya hosh meñ dariyā
Duboyā josh-e-vahshat meñ hameñ sahrā-navardī ne
bahāyā ābloñ ne paañv ke pā-posh meñ dariyā
na chheḌ ai sozan-e-mizhgāñ mire dil ke phaphole ko
ki hikmat se kiyā hai band is sar-posh meñ dariyā
jahāz-e-ulfat-e-dil kā nigahbāñ hai ḳhudā hī ab
samundar kī tarah aaya hai ġham kā josh meñ dariyā
galā kaaTā chhure se apnā mizhgāñ ke tasavvur meñ
bahāyā shab lahū kā ham ne bālā-posh meñ dariyā
bharosā kuchh nahīñ sail-e-fanā kī āshnā.ī kā
kahe hai ye habāboñ ke hamesha gosh meñ dariyā
jo chhoḌīñ machhliyāñ mehñdī lagā kar us ne paañv meñ
kaf-e-pā kā pasīna ban gayā pā-posh meñ dariyā
mirī ashkoñ kī tuġhyānī 'hayā' kyā sar uThā.eñgī
samundar sā nihāñ hai charḳh ke sar-posh meñ dariyā
bahut sarshaar tha apne sarasar josh mein dariya
tamanche mauj ke khae to aaya hosh mein dariya
Duboya josh-e-wahshat mein hamein sahra-nawardi ne
bahaya aablon ne panw ke pa-posh mein dariya
na chheD ai sozan-e-mizhgan mere dil ke phaphole ko
ki hikmat se kiya hai band is sar-posh mein dariya
jahaz-e-ulfat-e-dil ka nigahban hai KHuda hi ab
samundar ki tarah aaya hai gham ka josh mein dariya
gala kaTa chhure se apna mizhgan ke tasawwur mein
bahaya shab lahu ka hum ne baala-posh mein dariya
bharosa kuchh nahin sail-e-fana ki aashnai ka
kahe hai ye hababon ke hamesha gosh mein dariya
jo chhoDin machhliyan mehndi laga kar us ne panw mein
kaf-e-pa ka pasina ban gaya pa-posh mein dariya
meri ashkon ki tughyani 'haya' kya sar uThaengi
samundar sa nihan hai charKH ke sar-posh mein dariya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.