Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut sarshaar tha apne sarasar josh mein dariya

Mirza Rahimuddin Haya

bahut sarshaar tha apne sarasar josh mein dariya

Mirza Rahimuddin Haya

MORE BYMirza Rahimuddin Haya

    bahut sarshār thā apne sarāsar josh meñ dariyā

    tamāñche mauj ke khaa.e to aaya hosh meñ dariyā

    Duboyā josh-e-vahshat meñ hameñ sahrā-navardī ne

    bahāyā ābloñ ne paañv ke pā-posh meñ dariyā

    na chheḌ ai sozan-e-mizhgāñ mire dil ke phaphole ko

    ki hikmat se kiyā hai band is sar-posh meñ dariyā

    jahāz-e-ulfat-e-dil nigahbāñ hai ḳhudā ab

    samundar tarah aaya hai ġham josh meñ dariyā

    galā kaaTā chhure se apnā mizhgāñ ke tasavvur meñ

    bahāyā shab lahū ham ne bālā-posh meñ dariyā

    bharosā kuchh nahīñ sail-e-fanā āshnā.ī

    kahe hai ye habāboñ ke hamesha gosh meñ dariyā

    jo chhoḌīñ machhliyāñ mehñdī lagā kar us ne paañv meñ

    kaf-e-pā pasīna ban gayā pā-posh meñ dariyā

    mirī ashkoñ tuġhyānī 'hayā' kyā sar uThā.eñgī

    samundar nihāñ hai charḳh ke sar-posh meñ dariyā

    bahut sarshaar tha apne sarasar josh mein dariya

    tamanche mauj ke khae to aaya hosh mein dariya

    Duboya josh-e-wahshat mein hamein sahra-nawardi ne

    bahaya aablon ne panw ke pa-posh mein dariya

    na chheD ai sozan-e-mizhgan mere dil ke phaphole ko

    ki hikmat se kiya hai band is sar-posh mein dariya

    jahaz-e-ulfat-e-dil ka nigahban hai KHuda hi ab

    samundar ki tarah aaya hai gham ka josh mein dariya

    gala kaTa chhure se apna mizhgan ke tasawwur mein

    bahaya shab lahu ka hum ne baala-posh mein dariya

    bharosa kuchh nahin sail-e-fana ki aashnai ka

    kahe hai ye hababon ke hamesha gosh mein dariya

    jo chhoDin machhliyan mehndi laga kar us ne panw mein

    kaf-e-pa ka pasina ban gaya pa-posh mein dariya

    meri ashkon ki tughyani 'haya' kya sar uThaengi

    samundar sa nihan hai charKH ke sar-posh mein dariya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now