Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut si aanhken lagin hain aur ek KHwab tayyar ho raha hai

Farhat Ehsas

bahut si aanhken lagin hain aur ek KHwab tayyar ho raha hai

Farhat Ehsas

MORE BYFarhat Ehsas

    bahut āñkheñ lagīñ haiñ aur ek ḳhvāb tayyār ho rahā hai

    haqīqatoñ se muqāble nisāb tayyār ho rahā hai

    tamām duniyā ke zaḳhm apne bayāñ qalam-band kar rahe haiñ

    mirī savāneh-hayāt ek baab tayyār ho rahā hai

    bahut se chāñd aur bahut se phuul ek tajrabe meñ lage haiñ kab se

    sunā hai tum ne kahīñ tumhārā javāb tayyār ho rahā hai

    chaman ke phūloñ meñ ḳhuun dene ek tahrīk chal rahī hai

    aur is lahū se ḳhizāñ ḳhātir ḳhizāb tayyār ho rahā hai

    purānī bastī khiḌkiyoñ se maiñ dekhtā huuñ to sochtā huuñ

    nayā jo vo shahr hai bahut ḳharāb tayyār ho rahā hai

    khule hue haiñ fanā ke daftar meñ sab anāsir ke goshvāre

    ki āsmānoñ meñ ab zamīñ hisāb tayyār ho rahā hai

    maiñ jab kabhī us se pūchhtā huuñ ki yaar marham kahāñ hai merā

    to vaqt kahtā hai muskurā kar janāb tayyār ho rahā hai

    badan ko jaanā hai pahlī baar aaj ruuh mahfil-e-tarab meñ

    to aisā lagtā hai jaise koī navāb tayyār ho rahā hai

    is imtihāñ ke savāl aate nahīñ nisāboñ se maktaboñ ke

    ajiib āshiq hai ye jo paḌh kar kitāb tayyār ho rahā hai

    junūñ ne barpā kiyā hai sahrā meñ shahr ta.aziyat jalsa

    to 'farhat-ehsās' bhī ba-chashm-e-pur-āb tayyār ho rahā hai

    bahut si aankhen lagin hain aur ek KHwab tayyar ho raha hai

    haqiqaton se muqable ka nisab tayyar ho raha hai

    tamam duniya ke zaKHm apne bayan qalam-band kar rahe hain

    meri sawaneh-hayat ka ek bab tayyar ho raha hai

    bahut se chand aur bahut se phul ek tajrabe mein lage hain kab se

    suna hai tum ne kahin tumhaara jawab tayyar ho raha hai

    chaman ke phulon mein KHun dene ki ek tahrik chal rahi hai

    aur is lahu se KHizan ki KHatir KHizab tayyar ho raha hai

    purani basti ki khiDkiyon se main dekhta hun to sochta hun

    naya jo wo shahr hai bahut hi KHarab tayyar ho raha hai

    khule hue hain fana ke daftar mein sab anasir ke goshware

    ki aasmanon mein ab zamin ka hisab tayyar ho raha hai

    main jab kabhi us se puchhta hun ki yar marham kahan hai mera

    to waqt kahta hai muskura kar janab tayyar ho raha hai

    badan ko jaana hai pahli bar aaj ruh ki mahfil-e-tarab mein

    to aisa lagta hai jaise koi nawab tayyar ho raha hai

    is imtihan ke sawal aate nahin nisabon se maktabon ke

    ajib aashiq hai ye jo paDh kar kitab tayyar ho raha hai

    junun ne barpa kiya hai sahra mein shahr ki taziyat ka jalsa

    to 'farhat-ehsas' bhi ba-chashm-e-pur-ab tayyar ho raha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now