Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baiThe baiThe kaisa dil ghabra jata hai

Zehra Nigaah

baiThe baiThe kaisa dil ghabra jata hai

Zehra Nigaah

MORE BYZehra Nigaah

    baiThe baiThe kaisā dil ghabrā jaatā hai

    jaane vāloñ jaanā yaad aa jaatā hai

    bāt-chīt meñ jis ravānī masal huī

    ek naam lete meñ kuchh ruk jaatā hai

    hañstī-bastī rāhoñ ḳhush-bāsh musāfir

    rozī bhaTTī īñdhan ban jaatā hai

    daftar mansab donoñ zehn ko khā lete haiñ

    ghar vāloñ qismat meñ tan rah jaatā hai

    ab is ghar ābādī mehmānoñ par hai

    koī aa jaa.e to vaqt guzar jaatā hai

    baiThe baiThe kaisa dil ghabra jata hai

    jaane walon ka jaana yaad aa jata hai

    baat-chit mein jis ki rawani masal hui

    ek nam lete mein kuchh ruk sa jata hai

    hansti-basti rahon ka KHush-bash musafir

    rozi ki bhaTTi ka indhan ban jata hai

    daftar mansab donon zehn ko kha lete hain

    ghar walon ki qismat mein tan rah jata hai

    ab is ghar ki aabaadi mehmanon par hai

    koi aa jae to waqt guzar jata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now