bajte hain sar jo dil mein bata majra hai kya
bajte haiñ sar jo dil meñ batā mājrā hai kyā
tujh se kisī ne kaan meñ kuchh kah diyā hai kyā
hamdam bhī ham-ḳhayāl bhī tū ham-safar bhī hai
ab mujh meñ tujh meñ farq koī rah gayā hai kyā
jiite haiñ zindagī ko magar jānte nahīñ
rāz-e-hayāt kyā hai baqā kyā fanā hai kyā
har zarra kā.enāt kā tā'līm-gāh hai
kirdār kah rahe haiñ ki kis ne paḌhā hai kyā
jhuk jā.egī har ek jabīñ is zamīn par
mā'lūm ho jo in ko ki āḳhir ḳhudā hai kyā
pāband-e-haq the ‘ālam-e-arvāh meñ sabhī
ab yaad bhī nahīñ hai ki 'ahd-e-vafā hai kyā
bajte hain sar jo dil mein bata majra hai kya
tujh se kisi ne kan mein kuchh kah diya hai kya
hamdam bhi ham-KHayal bhi tu ham-safar bhi hai
ab mujh mein tujh mein farq koi rah gaya hai kya
jite hain zindagi ko magar jaante nahin
raaz-e-hayat kya hai baqa kya fana hai kya
har zarra kaenat ka ta'lim-gah hai
kirdar kah rahe hain ki kis ne paDha hai kya
jhuk jaegi har ek jabin is zamin par
ma'lum ho jo in ko ki aaKHir KHuda hai kya
paband-e-haq the ‘alam-e-arwah mein sabhi
ab yaad bhi nahin hai ki 'ahd-e-wafa hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.