baKHshen na ujale to charaghon ko bujha do

baKHshen na ujale to charaghon ko bujha do
Abdul Haq Sahar Muzaffarnagari
MORE BYAbdul Haq Sahar Muzaffarnagari
baḳhsheñ na ujāle to charāġhoñ ko bujhā do
miT saktī hai zulmat to mirā ghar bhī jalā do
bīmār-e-mohabbat ko davā do na du'ā do
dāman kī havā do use dāman kī havā do
aañsū bhī piyūñ maiñ to rahūñ pyāsā kā pyāsā
tum baal bikhero to ghaTāoñ ko ghaTā do
maiñ chāhūñ to rah jā.ūñ faqat soch ke dil meñ
tum chāho to bigḌī huī taqdīr banā do
tūfāñ se bache yā na bache merā safīna
sāhil pe khaḌe ho ke zarā haath hilā do
majbūr ko māroge to chhuT jā.egā ġham se
marnā bahut āsān hai jiine kī sazā do
ham mil ke pukāreñ to palaT aa.egā maazī
aao mirī āvāz meñ āvāz milā do
jab tak hai mujhe hosh burā tum ko kahūñgā
is daur ke logo mujhe dīvāna banā do
āñkhoñ meñ jagah degī 'sahar' phir yahī duniyā
ik baar zarā apnī nigāhoñ se girā do
baKHshen na ujale to charaghon ko bujha do
miT sakti hai zulmat to mera ghar bhi jala do
bimar-e-mohabbat ko dawa do na du'a do
daman ki hawa do use daman ki hawa do
aansu bhi piyun main to rahun pyasa ka pyasa
tum baal bikhero to ghaTaon ko ghaTa do
main chahun to rah jaun faqat soch ke dil mein
tum chaho to bigDi hui taqdir bana do
tufan se bache ya na bache mera safina
sahil pe khaDe ho ke zara hath hila do
majbur ko maroge to chhuT jaega gham se
marna bahut aasan hai jine ki saza do
hum mil ke pukaren to palaT aaega mazi
aao meri aawaz mein aawaz mila do
jab tak hai mujhe hosh bura tum ko kahunga
is daur ke logo mujhe diwana bana do
aankhon mein jagah degi 'sahar' phir yahi duniya
ek bar zara apni nigahon se gira do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.