Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bala-e-jaan mujhe har ek KHush-jamal hua

Haidar Ali Aatish

bala-e-jaan mujhe har ek KHush-jamal hua

Haidar Ali Aatish

MORE BYHaidar Ali Aatish

    balā-e-jāñ mujhe har ek ḳhush-jamāl huā

    chhurī jo tez huī pahle maiñ halāl huā

    girau huā to use chhūTnā muhāl huā

    dil-e-ġharīb mirā muflisoñ maal huā

    kamī nahīñ tirī dargāh meñ kisī shai

    vahī milā hai jo muhtāj savāl huā

    dikhā ke chehra-e-raushan vo kahte haiñ sar-e-shām

    vo āftāb nahīñ hai jise zavāl huā

    dukhā na dil ko sanam ittihād rakhtā huuñ

    mujhe malāl huā to tujhe malāl huā

    bujhāyā āñkhoñ ne vo ruḳh talāsh-e-mazmūñ meñ

    ḳhayāl-e-yār mirā sher ḳhayāl huā

    tire shahīd ke jeb-e-kafan meñ ai qātil

    gulāl se bhī hai rañg-e-abīr laal huā

    buland ḳhāk-nashīnī ne qadr merī

    uruuj mujh ko huā jab ki pā.emāl huā

    ġhazab meñ yaar ke shān-e-karam nazar aa.ī

    banāyā sarv-e-charāġhāñ jise nihāl huā

    yaqīñ hai dekhte suufī to dam nikal jaatā

    hamāre vajd ke aalam meñ hai jo haal huā

    vo nā-tavāñ thā irāda kiyā jo khāne

    ġham-e-firāq ke dāñtoñ meñ maiñ ḳhilāl huā

    kiyā hai zaar ye terī kamar ke saude ne

    paḌā jo aks mirā ā.īne meñ baal huā

    dikhānī thī na tumheñ chashm-e-surmagīñ apnī

    nigāh-e-nāz se vahshat-zada ġhazāl huā

    dahān-e-yār ke bose dil ne raġhbat

    ḳhayāl-e-ḳhām kiyā tālib-e-muhāl huā

    rahā bahār-o-ḳhizāñ meñ ye haal saude

    baḌhā to zulf huā ghaT gayā to ḳhaal huā

    junūñ meñ ālam-e-tiflī bādshāhat

    khilaunā āñkhoñ meñ apnī har ik ġhazāl huā

    sunā jamīl bhī terā jo naam ai mahbūb

    hazār jaan se dil banda-e-jamāl huā

    likhā hai āshiqoñ meñ apne ne jis naam

    phir us chehra nahīñ umr bhar bahāl huā

    gunah kisī ne kiyā thartharāyā dil apnā

    araq araq hue ham jis ko infi.āl huā

    tire dahān o kamar jo zikr aayā yaar

    gumān-o-vahm ko kyā kyā na ehtimāl huā

    kamāl kaun hai vo jise zavāl nahīñ

    hazār shukr ki mujh ko na kuchh kamāl huā

    tumhārī abrū-e-kaj thā duuj dhokā

    siyāh hotā agar iid hilāl huā

    diyā jo rañj tire ishq ne to rāhat thī

    firāq-e-talḳh to shīrīñ mujhe visāl huā

    vahī hai lauh-e-shikast-e-tilism-e-jism 'ātish'

    jab e'tidā-e-anāsir meñ iḳhtilāl huā

    bala-e-jaan mujhe har ek KHush-jamal hua

    chhuri jo tez hui pahle main halal hua

    girau hua to use chhuTna muhaal hua

    dil-e-gharib mera muflison ka mal hua

    kami nahin teri dargah mein kisi shai ki

    wahi mila hai jo muhtaj ka sawal hua

    dikha ke chehra-e-raushan wo kahte hain sar-e-sham

    wo aaftab nahin hai jise zawal hua

    dukha na dil ko sanam ittihad rakhta hun

    mujhe malal hua to tujhe malal hua

    bujhaya aankhon ne wo ruKH talash-e-mazmun mein

    KHayal-e-yar mera sher ka KHayal hua

    tere shahid ke jeb-e-kafan mein ai qatil

    gulal se bhi hai rang-e-abir lal hua

    buland KHak-nashini ne qadr ki meri

    uruj mujh ko hua jab ki paemal hua

    ghazab mein yar ke shan-e-karam nazar aai

    banaya sarw-e-charaghan jise nihaal hua

    yaqin hai dekhte sufi to dam nikal jata

    hamare wajd ke aalam mein hai jo haal hua

    wo na-tawan tha irada kiya jo khane ka

    gham-e-firaq ke danton mein main KHilal hua

    kiya hai zar ye teri kamar ke saude ne

    paDa jo aks mera aaine mein baal hua

    dikhani thi na tumhein chashm-e-surmagin apni

    nigah-e-naz se wahshat-zada ghazal hua

    dahan-e-yar ke bose ki dil ne raghbat ki

    KHayal-e-KHam kiya talib-e-muhaal hua

    raha bahaar-o-KHizan mein ye haal saude ka

    baDha to zulf hua ghaT gaya to KHal hua

    junun mein aalam-e-tifli ki baadshahat ki

    khilauna aankhon mein apni har ek ghazal hua

    suna jamil bhi tera jo nam ai mahbub

    hazar jaan se dil banda-e-jamal hua

    likha hai aashiqon mein apne tu ne jis ka nam

    phir us ka chehra nahin umr bhar bahaal hua

    gunah kisi ne kiya thartharaya dil apna

    araq araq hue hum jis ko infial hua

    tere dahan o kamar ka jo zikr aaya yar

    guman-o-wahm ko kya kya na ehtimal hua

    kamal kaun sa hai wo jise zawal nahin

    hazar shukr ki mujh ko na kuchh kamal hua

    tumhaari abru-e-kaj ka tha duj ka dhoka

    siyah hota agar id ka hilal hua

    diya jo ranj tere ishq ne to rahat thi

    firaq-e-talKH to shirin mujhe visal hua

    wahi hai lauh-e-shikast-e-tilism-e-jism 'atish'

    jab e'tida-e-anasir mein iKHtilal hua

    Source:

    Kulliyat-e-Khwaja Haidar Ali Aatish (Pg. 88)

    • Author: Haidar Ali Aatish
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now