Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bala se apni ab aati rahe bahaar kabhi

Sada Ambalvi

bala se apni ab aati rahe bahaar kabhi

Sada Ambalvi

MORE BYSada Ambalvi

    balā se apnī ab aatī rahe bahār kabhī

    kalī pa sūkhī na aa.egā phir nikhār kabhī

    hazār barq gire laakh āshiyāne jaleñ

    ruke na gulshan-e-hastī kārobār kabhī

    har ik nigāh nihāre na.e shagūfoñ ko

    sune na koī gul-e-zard pukār kabhī

    bachegā aañkh se gulchīñ kab talak āḳhir

    nahīñ hai phuul hastī e'tibār kabhī

    nizām-e-bāġh ab ai bāġhbāñ badal kuchh to

    kalī ko phuul ko de kuchh to iḳhtiyār kabhī

    samajh ke sūkhā huā phuul jis ko pheñk diyā

    thā vo 'sadā' bhī kisī ke gale haar kabhī

    bala se apni ab aati rahe bahaar kabhi

    kali pa sukhi na aaega phir nikhaar kabhi

    hazar barq gire lakh aashiyane jalen

    ruke na gulshan-e-hasti ka karobar kabhi

    har ek nigah nihaare nae shagufon ko

    sune na koi gul-e-zard ki pukar kabhi

    bachega aankh se gulchin ki kab talak aaKHir

    nahin hai phul ki hasti ka e'tibar kabhi

    nizam-e-bagh ab ai baghban badal kuchh to

    kali ko phul ko de kuchh to iKHtiyar kabhi

    samajh ke sukha hua phul jis ko phenk diya

    tha wo 'sada' bhi kisi ke gale ka haar kabhi

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ghulam Abbas

    Ghulam Abbas

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now