aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bala se KHalq ho be-dard ishq kya gham hai

Ishq Aurangabadi

bala se KHalq ho be-dard ishq kya gham hai

Ishq Aurangabadi

MORE BYIshq Aurangabadi

    balā se ḳhalq ho be-dard ishq kyā ġham hai

    jarāhat-e-dil-e-mahzūñ dard marham hai

    jahāñ meñ ġham se kui ishrat-kada nahīñ ḳhālī

    hai sham.a bazm meñ giryāñ chaman meñ shabnam hai

    huuñ āb-dīda maiñ nargis pe dekh kar shabnam

    ki aah chashm sūrat bhī ashk se nam hai

    rakhe hai lutf shabistān-e-bazm-e-mun.im lek

    svād-e-shām-e-ġharībāñ aur aalam hai

    guloñ chaak garebāñ haiñ bulbuleñ nālāñ

    chaman meñ 'ishq' ḳhudā jaane kis mātam hai

    bala se KHalq ho be-dard ishq kya gham hai

    jarahat-e-dil-e-mahzun ka dard marham hai

    jahan mein gham se kui ishrat-kada nahin KHali

    hai shama bazm mein giryan chaman mein shabnam hai

    hun aab-dida main nargis pe dekh kar shabnam

    ki aah chashm ki surat bhi ashk se nam hai

    rakhe hai lutf shabistan-e-bazm-e-munim lek

    swad-e-sham-e-ghariban ka aur aalam hai

    gulon ka chaak gareban hain bulbulen nalan

    chaman mein 'ishq' KHuda jaane kis ka matam hai

    Source:

    Deewan-e-Ishq(Rekhta Website) (Pg. 97)

      • Publisher: Idara-e-Adabiyat-e-Urdu, Hyderabad
      • Year of Publication: 1960
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now