bala se nam wo mera uchhaal deta hai
balā se naam vo merā uchhāl detā hai
magar jo zahr hai dil kā nikāl detā hai
bahut qarīb hai mere bahut qarīb hai vo
koī kisī ko yūñhī kab malāl detā hai
maiñ sotā rahtā huuñ aur jaane kab ḳhudā merā
añdherī raat ko sūraj meñ Dhaal detā hai
ham apne ḳhvāb jo āñkhoñ meñ lā ke rakhte haiñ
ijāzateñ hameñ is kī ḳhayāl detā hai
badan pe apne Thaharne ke ek lamhe meñ
ye lams ruuh kī parteñ ujaal detā hai
bala se nam wo mera uchhaal deta hai
magar jo zahr hai dil ka nikal deta hai
bahut qarib hai mere bahut qarib hai wo
koi kisi ko yunhi kab malal deta hai
main sota rahta hun aur jaane kab KHuda mera
andheri raat ko suraj mein Dhaal deta hai
hum apne KHwab jo aankhon mein la ke rakhte hain
ijazaten hamein is ki KHayal deta hai
badan pe apne Thaharne ke ek lamhe mein
ye lams ruh ki parten ujal deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.