Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ban ke sahil ki nigahon mein tamasha hum log

Aleem Afsar

ban ke sahil ki nigahon mein tamasha hum log

Aleem Afsar

MORE BYAleem Afsar

    ban ke sāhil nigāhoñ meñ tamāshā ham log

    naqsh-e-pā DhūñD rahe haiñ sar-e-dariyā ham log

    saa.e chhūTe to pighalne lage phir dhuup meñ jism

    kaash hote na kabhī ḳhud se shanāsā ham log

    ham ko nafrat hai añdheroñ se magar kyā kiije

    ki ujāloñ se bhī rakhte nahīñ rishta ham log

    kuchh nazar aatā nahīñ jin meñ dhuñdlakoñ ke sivā

    karte rahte haiñ unhīñ ḳhvāboñ ke dar ham log

    zehn par baar hai āñkhoñ muqaddar hai thakan

    ḳhvāb agar dekhte bhī haiñ to adhūrā ham log

    apnī āñkhoñ se girte hue dekhā jis ko

    DhūñDhte kyuuñ usī dīvār saayā ham log

    ban ke sahil ki nigahon mein tamasha hum log

    naqsh-e-pa DhunD rahe hain sar-e-dariya hum log

    sae chhuTe to pighalne lage phir dhup mein jism

    kash hote na kabhi KHud se shanasa hum log

    hum ko nafrat hai andheron se magar kya kije

    ki ujalon se bhi rakhte nahin rishta hum log

    kuchh nazar aata nahin jin mein dhundlakon ke siwa

    karte rahte hain unhin KHwabon ke dar wa hum log

    zehn par bar hai aankhon ka muqaddar hai thakan

    KHwab agar dekhte bhi hain to adhura hum log

    apni hi aankhon se girte hue dekha jis ko

    DhunDhte kyun usi diwar ka saya hum log

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 720)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now