ban ke suraj main andhere se nikal aaya hun

ban ke suraj main andhere se nikal aaya hun
Abdul Haq Sahar Muzaffarnagari
MORE BYAbdul Haq Sahar Muzaffarnagari
ban ke sūraj maiñ añdhere se nikal aayā huuñ
yā'nī ahbāb ke halqe se nikal aayā huuñ
vādī-e-husn ke ḳhatre se nikal aayā huuñ
maiñ mohabbat ke ḳharābe se nikal aayā huuñ
apnā fan aur adākārī dikhāne ke liye
tere stage ke parde se nikal aayā huuñ
hirs o lālach ne parindoñ ko asīrī dī hai
maiñ to sayyād ke phande se nikal aayā huuñ
mausam-e-hijr se mānūs bahut dil thā magar
terī āvāz pe kamre se nikal aayā huuñ
talḳh-goī se ta'alluq meñ kamī aatī hai
ye ḳhasāra hai ḳhasāre se nikal aayā huuñ
tujh pe maa.il mirā dil hai ye ġhalat maiñ to idhar
sair karne ke irāde se nikal aayā huuñ
tere guldān tire ghar kī maiñ zīnat ke liye
gul kī sūrat kisī gamle se nikal aayā huuñ
mujh pe ye sabr-o-qanā'at kā hai ehsān 'sahar'
nafs-e-ammāra ke narġhe se nikal aayā huuñ
ban ke suraj main andhere se nikal aaya hun
ya'ni ahbab ke halqe se nikal aaya hun
wadi-e-husn ke KHatre se nikal aaya hun
main mohabbat ke KHarabe se nikal aaya hun
apna fan aur adakari dikhane ke liye
tere stage ke parde se nikal aaya hun
hirs o lalach ne parindon ko asiri di hai
main to sayyaad ke phande se nikal aaya hun
mausam-e-hijr se manus bahut dil tha magar
teri aawaz pe kamre se nikal aaya hun
talKH-goi se ta'alluq mein kami aati hai
ye KHasara hai KHasare se nikal aaya hun
tujh pe mail mera dil hai ye ghalat main to idhar
sair karne ke irade se nikal aaya hun
tere guldan tere ghar ki main zinat ke liye
gul ki surat kisi gamle se nikal aaya hun
mujh pe ye sabr-o-qana'at ka hai ehsan 'sahar'
nafs-e-ammara ke narghe se nikal aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.