ban ke suraj main tere shahr mein chamka hota
ban ke sūraj maiñ tire shahr meñ chamkā hotā
mere chehre pe jo ik aur bhī chehra hotā
tū ghaTā ban ke jo bhūle hī se barsā hotā
aisā vīrān mire dil kā na sahrā hotā
zindagī ġham ke añdheroñ meñ kahīñ kho jaatī
chāñd ban ke tū agar dil meñ na utrā hotā
phuul pheñke na ga.e tum se jo merī jānib
koī kāñTā koī patthar kabhī pheñkā hotā
naag ban kar hameñ tanhā.ī na Dasne paatī
koī is shahr meñ 'kausar' jo shanāsā hotā
ban ke suraj main tere shahr mein chamka hota
mere chehre pe jo ek aur bhi chehra hota
tu ghaTa ban ke jo bhule hi se barsa hota
aisa viran mere dil ka na sahra hota
zindagi gham ke andheron mein kahin kho jati
chand ban ke tu agar dil mein na utra hota
phul phenke na gae tum se jo meri jaanib
koi kanTa koi patthar kabhi phenka hota
nag ban kar hamein tanhai na Dasne pati
koi is shahr mein 'kausar' jo shanasa hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.