Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bana de aur bhi kuchh dur ki sada mujhko

Manmohan Talkh

bana de aur bhi kuchh dur ki sada mujhko

Manmohan Talkh

MORE BYManmohan Talkh

    banā de aur bhī kuchh duur sadā mujh ko

    ye jitne fāsle mumkin haiñ sab dikhā mujh ko

    har ek chehre ko pahchānñe koshish ne

    har ek chehre uljhan banā diyā mujh ko

    thakā thakā tasalsul banā ke dariyā

    ye phailtā huā sahrā na ab banā mujh ko

    maiñ silsila huuñ sadāoñ ke TuuT jaane

    to soch kar dobāra sadā banā mujh ko

    merī baat hai to guuñj mire andar

    maiñ terī chup huuñ to phir toḌ kar dikhā mujh ko

    maiñ sun rahā huuñ har ek choT meñ sadā apnī

    ruke na haath tirā toḌtā mujh ko

    merā ḳhayāl hai ghar ke bahut qarīb huuñ maiñ

    har ek lamha na yuuñ varna dekhtā mujh ko

    ye log kyā haiñ kisī koī vajūd bhī hai

    ye ār-pār nazar aa rahā hai kyā mujh ko

    ajab thakan huuñ kisī se na kuchh bhī kahne

    ajab tarah ye paḌā ḳhud se vāsta mujh ko

    maiñ apne dhyān se ḳhud utar gayā thā talḳh

    sabhī ġhalat haiñ kisī ne nahīñ sunā mujh ko

    bana de aur bhi kuchh dur ki sada mujh ko

    ye jitne fasle mumkin hain sab dikha mujh ko

    har ek chehre ko pahchanne ki koshish ne

    har ek chehre ki uljhan bana diya mujh ko

    thaka thaka sa tasalsul bana ke dariya ka

    ye phailta hua sahra na ab bana mujh ko

    main silsila hun sadaon ke TuT jaane ka

    to soch kar hi dobara sada bana mujh ko

    tu meri baat hai to gunj ja mere andar

    main teri chup hun to phir toD kar dikha mujh ko

    main sun raha hun har ek choT mein sada apni

    ruke na hath tera toDta hi ja mujh ko

    mera KHayal hai ghar ke bahut qarib hun main

    har ek lamha na yun warna dekhta mujh ko

    ye log kya hain kisi ka koi wajud bhi hai

    ye aar-par nazar aa raha hai kya mujh ko

    ajab thakan hun kisi se na kuchh bhi kahne ki

    ajab tarah ye paDa KHud se wasta mujh ko

    main apne dhyan se KHud hi utar gaya tha talKH

    sabhi ghalat hain kisi ne nahin suna mujh ko

    Source:

    Mujalla Dastavez (Pg. 500)

    • Author: Aziz Nabeel
      • Edition: 2013-14
      • Publisher: Edarah Dastavez
      • Year of Publication: 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now