Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bana hai shahr mein jis ka makan shishe ka

Ekhlaq Ahmad Ekhlaq

bana hai shahr mein jis ka makan shishe ka

Ekhlaq Ahmad Ekhlaq

MORE BYEkhlaq Ahmad Ekhlaq

    banā hai shahr meñ jis makān shīshe

    vo chāhtā hai bane āsmān shīshe

    ye chand haath ye patthar miTā na pā.eñge

    bahut baḌā hai yahāñ ḳhāndān shīshe

    maiñ tez dhuup se ḳhud ko bachāne pahuñchā thā

    nasīb dekho milā sā.ebān shīshe

    hasīn chāñd se chehre ko rū-ba-rū rakh kar

    vo aaj toḌ gayā hai gumān shīshe

    mire qabīle sardār jab huā andhā

    miTā qabīle se har ik nishān shīshe

    karoḌoñ logoñ ke sar par nahīñ hai chhat lekin

    banā rahā hai vo hindostān shīshe

    huzūr aap ne kāġhaz ke phuul rakkhe haiñ

    kahāñ se laa.e mahak phūl-dān shīshe

    sadāqatoñ shahādat ke naam par 'aḳhlāq'

    qadam-qadam pe huā imtihān shīshe

    bana hai shahr mein jis ka makan shishe ka

    wo chahta hai bane aasman shishe ka

    ye chand hath ye patthar miTa na paenge

    bahut baDa hai yahan KHandan shishe ka

    main tez dhup se KHud ko bachane pahuncha tha

    nasib dekho mila saeban shishe ka

    hasin chand se chehre ko ru-ba-ru rakh kar

    wo aaj toD gaya hai guman shishe ka

    mere qabile ka sardar jab hua andha

    miTa qabile se har ek nishan shishe ka

    karoDon logon ke sar par nahin hai chhat lekin

    bana raha hai wo hindostan shishe ka

    huzur aap ne kaghaz ke phul rakkhe hain

    kahan se lae mahak phul-dan shishe ka

    sadaqaton ki shahadat ke nam par 'aKHlaq'

    qadam-qadam pe hua imtihan shishe ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now