band aankhon se ye manzar dekhna
band āñkhoñ se ye manzar dekhnā
ek duniyā apne andar dekhnā
kaisī vahshat mujh meñ ghar karne lagī
ghar kī dīvāreñ kabhī dar dekhnā
sab ko miltī hai kahāñ aisī nazar
ek qatre meñ samundar dekhnā
kholnā yaksar kitāb-e-zindagī
aur phir panne ulaT kar dekhnā
kitnī ummīdoñ ko zinda kar gayā
ik nazar terā palaT kar dekhnā
ek hī dīvār par rakhnā nigāh
ek hī tasvīr aksar dekhnā
band aankhon se ye manzar dekhna
ek duniya apne andar dekhna
kaisi wahshat mujh mein ghar karne lagi
ghar ki diwaren kabhi dar dekhna
sab ko milti hai kahan aisi nazar
ek qatre mein samundar dekhna
kholna yaksar kitab-e-zindagi
aur phir panne ulaT kar dekhna
kitni ummidon ko zinda kar gaya
ek nazar tera palaT kar dekhna
ek hi diwar par rakhna nigah
ek hi taswir aksar dekhna
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 102)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.