Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

banda agar jahan mein bajae KHuda nahin

Shaikh Zahuruddin Hatim

banda agar jahan mein bajae KHuda nahin

Shaikh Zahuruddin Hatim

MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim

    banda agar jahāñ meñ bajā.e ḳhudā nahīñ

    lekin nazar karo to ḳhudā se judā nahīñ

    nuqte farq hai ḳhudā aur judā meñ dekh

    sūrat meñ gar chhupā hai ba-ma.anī chhupā nahīñ

    har shai ke biich aap nihāñ ho ayaañ huā

    dekhā to ham ne us koī ḳhud-numā nahīñ

    hairān aql-e-kul hai us sifat ko dekh

    sab meñ jalva-gar hai magar ek nahīñ

    lazzat chakhā ke dil ke ta.iiñ hijr o vasl

    'hātim' se mil rahā hai aur ab tak milā nahīñ

    banda agar jahan mein bajae KHuda nahin

    lekin nazar karo to KHuda se juda nahin

    nuqte ka farq hai ga KHuda aur juda mein dekh

    surat mein gar chhupa hai ba-mani chhupa nahin

    har shai ke bich aap nihan ho ayan hua

    dekha to hum ne us sa koi KHud-numa nahin

    hairan aql-e-kul ki hai us ki sifat ko dekh

    sab ja mein jalwa-gar hai magar ek ja nahin

    lazzat chakha ke dil ke tain hijr o wasl ki

    'hatim' se mil raha hai aur ab tak mila nahin

    Source:

    Diwan Zadah (Pg. 225)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now