Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

banda to huzur aap ke kaam aaya bahut hai

Virendra Khare Akela

banda to huzur aap ke kaam aaya bahut hai

Virendra Khare Akela

MORE BYVirendra Khare Akela

    bandā to huzūr aap ke kaam aaya bahut hai

    ye bhī hai bajā aap ne Thukrāyā bahut hai

    ulfat hai ki hai dil-lagī mujh ko nahīñ ma.alūm

    phir chāñd mujhe dekh ke muskāyā bahut hai

    duniyā mujhe suulī pe chaḌhā de to chaḌhā de

    ulfat sabaq maiñ ne bhī dohrāyā bahut hai

    ye baat bajā hai madad shukriyā sāhib

    ehsān magar aap ne jatlāyā bahut hai

    gum-sum ka.ī roz se dikhtā hai vo zālim

    shāyad mirā dil toḌ ke pachhtāyā bahut hai

    ḳhud bhī kabhī shakl zarā dekh leñ sāhib

    ā.īnā mujhe aap ne dikhlāyā bahut hai

    ab aql dushman jo na samjhe to na samjhe

    maiñ ne dil-e-nādān ko samjhāyā bahut hai

    afsos nahīñ qatl mujh ko mire qātil

    ġham hai yahī ne mujhe taḌpāyā bahut hai

    īmān o dharam taak pe dekho to 'akelā'

    paise ke liye aadmī paglāyā bahut hai

    banda to huzur aap ke kaam aaya bahut hai

    ye bhi hai baja aap ne Thukraya bahut hai

    ulfat hai ki hai dil-lagi mujh ko nahin malum

    phir chand mujhe dekh ke muskaya bahut hai

    duniya mujhe suli pe chaDha de to chaDha de

    ulfat ka sabaq main ne bhi dohraya bahut hai

    ye baat baja ki hai madad shukriya sahib

    ehsan magar aap ne jatlaya bahut hai

    gum-sum sa kai roz se dikhta hai wo zalim

    shayad mera dil toD ke pachhtaya bahut hai

    KHud ki bhi kabhi shakl zara dekh len sahib

    aaina mujhe aap ne dikhlaya bahut hai

    ab aql ka dushman jo na samjhe to na samjhe

    main ne dil-e-nadan ko samjhaya bahut hai

    afsos nahin qatl ka mujh ko mere qatil

    gham hai yahi tu ne mujhe taDpaya bahut hai

    iman o dharam tak pe dekho to 'akela'

    paise ke liye aadmi paglaya bahut hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now