Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bane ho KHak se to KHaksari ho tabiat mein

Safi Aurangabadi

bane ho KHak se to KHaksari ho tabiat mein

Safi Aurangabadi

MORE BYSafi Aurangabadi

    bane ho ḳhaak se to ḳhāksārī ho tabī.at meñ

    tabī.at aisī bantī hai to bantī hai mohabbat meñ

    bahā.e jaao aañsū umr-bhar us mohabbat meñ

    ki aise log motī ke mahal paate haiñ jannat meñ

    kahā hāzir meñ kuchh hujjat nahīñ phir mudda.ā pūchhā

    sitamgar ne palaT baat ab hāzir hai hujjat meñ

    kisī se apne haq meñ kuchh sunā bhī hai to jaane do

    burā to bādshāh ko bhī kahā karte haiñ ġhībat meñ

    mohabbat zarā baat par itne ḳhafā kyuuñ ho

    huā kartī haiñ āḳhir saikḌoñ bāteñ mohabbat meñ

    nahīñ saktā har ik kohkan farhād qismat

    ḳhudā baḳhshe baḌā insān guzrā chhoTī ummat meñ

    tirī har ek tasvīr ik adā-e-ḳhās rakhtī hai

    kare kyā farq ab koī zarūrat aur zīnat meñ

    ye kyā saa.il ke muñh par toḌ kar TukḌā rakh denā

    are bande ḳhudā ko muñh dikhānā hai qayāmat meñ

    jo badle dost bhes us ko dushman kis tarah jānoñ

    gayā hazrat kalīm-ullāh naqqāl jannat meñ

    mohabbat be-itā.at ek dhoka hai mohabbat

    mohabbat jo da.avā hai to koshish kar itā.at meñ

    mohabbat aur mehnat kohkan ne ye bhī vo bhī

    ulaT hai ek nuqte mohabbat aur mehnat meñ

    safī' duniyā meñ jiine maza kuchh bhī nahīñ paayā

    hamārī umr kuchh ġhaflat meñ guzrī kuchh nadāmat meñ

    bane ho KHak se to KHaksari ho tabiat mein

    tabiat aisi banti hai to banti hai mohabbat mein

    bahae jao aansu umr-bhar us ki mohabbat mein

    ki aise log moti ke mahal pate hain jannat mein

    kaha hazir mein kuchh hujjat nahin phir muddaa puchha

    sitamgar ne palaT di baat ab hazir hai hujjat mein

    kisi se apne haq mein kuchh suna bhi hai to jaane do

    bura to baadshah ko bhi kaha karte hain ghibat mein

    mohabbat ki zara si baat par itne KHafa kyun ho

    hua karti hain aaKHir saikDon baaten mohabbat mein

    nahin la sakta har ek kohkan farhad ki qismat

    KHuda baKHshe baDa insan guzra chhoTi ummat mein

    teri har ek taswir ek ada-e-KHas rakhti hai

    kare kya farq ab koi zarurat aur zinat mein

    ye kya sail ke munh par toD kar TukDa sa rakh dena

    are bande KHuda ko munh dikhana hai qayamat mein

    jo badle dost ka bhes us ko dushman kis tarah jaanon

    gaya hazrat kalim-ullah ka naqqal jannat mein

    mohabbat be-itaat ek dhoka hai mohabbat ka

    mohabbat ka jo dawa hai to koshish kar itaat mein

    mohabbat aur mehnat kohkan ne ye bhi ki wo bhi

    ulaT hai ek nuqte ki mohabbat aur mehnat mein

    safi' duniya mein jine ka maza kuchh bhi nahin paya

    hamari umr kuchh ghaflat mein guzri kuchh nadamat mein

    Source:

    Kulliyat-e-Safi (Pg. 159)

    • Author: Safi Auranjabadi
      • Edition: 2000
      • Publisher: Urdu Acadami Hayderabad
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now