Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baqa ka aur fana ka moamla hai huzur

Ammar Yasir Migsi

baqa ka aur fana ka moamla hai huzur

Ammar Yasir Migsi

MORE BYAmmar Yasir Migsi

    baqā aur fanā mo.āmla hai huzūr

    charāġh aur havā mo.āmla hai huzūr

    maiñ us ko mānūñ na mānūñ mujhe mile na mile

    ye merā aur ḳhudā mo.āmla hai huzūr

    ye merī tujh se mohabbat agar ḳhatā hai to phir

    yahāñ pe husn-e-ḳhatā mo.āmla hai huzūr

    ye tai huā bhī agar hogā nok-e-neza par

    ye ek karb-o-balā muāmla hai huzūr

    hai ek dil ko ijāzat yahāñ dhaḌakne

    hathelī aur hinā mo.āmla hai huzūr

    tabhī to sachchā ḳhudā bhī ḳhamosh hai 'ammār'

    ye āstīñ asā mo.āmla hai huzūr

    baqa ka aur fana ka moamla hai huzur

    charagh aur hawa ka moamla hai huzur

    main us ko manun na manun mujhe mile na mile

    ye mera aur KHuda ka moamla hai huzur

    ye meri tujh se mohabbat agar KHata hai to phir

    yahan pe husn-e-KHata ka moamla hai huzur

    ye tai hua bhi agar hoga nok-e-neza par

    ye ek karb-o-bala ka muamla hai huzur

    hai ek dil ko ijazat yahan dhaDakne ki

    hatheli aur hina ka moamla hai huzur

    tabhi to sachcha KHuda bhi KHamosh hai 'ammar'

    ye aastin ka asa ka moamla hai huzur

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now