Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bar-sar-e-dard zamane ka bhi socha jae

Saim Ji

bar-sar-e-dard zamane ka bhi socha jae

Saim Ji

MORE BYSaim Ji

    bar-sar-e-dard zamāne bhī sochā jaa.e

    phir nayā qarz uThāne bhī sochā jaa.e

    sāmne chāñd hai par aur koī chāra nahīñ

    chashm-e-namnāk churāne bhī sochā jaa.e

    hiddat-e-husn-e-nazar se bhī bachā kar ḳhud ko

    ishq meñ risk uThāne bhī sochā jaa.e

    ḳhvāb se lipTī hue yaad ke saada lamho

    dard ke haath na aane bhī sochā jaa.e

    ishq to yaar adāoñ ko nigal jaatā hai

    husn-e-bebāk bachāne bhī sochā jaa.e

    cigareteñ phūñk ke kuchh jaam chaḌhā kar jānāñ

    kuchh tirā hijr manāne bhī sochā jaa.e

    bar-sar-e-dard zamane ka bhi socha jae

    phir naya qarz uThane ka bhi socha jae

    samne chand hai par aur koi chaara nahin

    chashm-e-namnak churane ka bhi socha jae

    hiddat-e-husn-e-nazar se bhi bacha kar KHud ko

    ishq mein risk uThane ka bhi socha jae

    KHwab se lipTi hue yaad ke sada lamho

    dard ke hath na aane ka bhi socha jae

    ishq to yar adaon ko nigal jata hai

    husn-e-bebak bachane ka bhi socha jae

    cigareten phunk ke kuchh jam chaDha kar jaanan

    kuchh tera hijr manane ka bhi socha jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now