Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

barasti aag se kuchh kam nahin barsat sawan ki

Rajendra Nath Rahbar

barasti aag se kuchh kam nahin barsat sawan ki

Rajendra Nath Rahbar

MORE BYRajendra Nath Rahbar

    barastī aag se kuchh kam nahīñ barsāt sāvan

    jalā kar ḳhaak kar detī hai dil ko raat sāvan

    uThī haiñ kaalī kaalī badliyāñ kyā tum na aaoge

    guzar jā.egī kyā tanhā bharī barsāt sāvan

    kisī yaad aatī hai liye ashkoñ tuġhyānī

    milī hai jholiyāñ bhar kar hameñ sauġhāt sāvan

    Dagar sunsān bijlī kaḌak pur-haul tārīkī

    musāfir raah se nā-āshnā barsāt sāvan

    tumhāre muntazir rahte haiñ sāvan ke hasīñ jhūle

    kiyā kartī hai yaad aksar tumheñ barsāt sāvan

    tahī-dastī aalam jām-e-mai saaqī na paimāna

    ye kis ne chheḌ aise meñ 'rahbar' baat sāvan

    barasti aag se kuchh kam nahin barsat sawan ki

    jala kar KHak kar deti hai dil ko raat sawan ki

    uThi hain kali kali badliyan kya tum na aaoge

    guzar jaegi kya tanha bhari barsat sawan ki

    kisi ki yaad aati hai liye ashkon ki tughyani

    mili hai jholiyan bhar kar hamein saughat sawan ki

    Dagar sunsan bijli ki kaDak pur-haul tariki

    musafir rah se na-ashna barsat sawan ki

    tumhaare muntazir rahte hain sawan ke hasin jhule

    kiya karti hai yaad aksar tumhein barsat sawan ki

    tahi-dasti ka aalam jam-e-mai saqi na paimana

    ye kis ne chheD di aise mein 'rahbar' baat sawan ki

    Source:

    Ghair Muslim Ghazalgo (Pg. 48)

      • Publisher: Syed Naushad Ali
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now