Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

barbaad-e-mohabbat ka bas itna fasana hai

Sahir Bhopali

barbaad-e-mohabbat ka bas itna fasana hai

Sahir Bhopali

MORE BYSahir Bhopali

    barbād-e-mohabbat bas itnā fasāna hai

    rone ko nahīñ koī hañsne ko zamāna hai

    kuchh kam na thā un ġham is par ġham-e-hastī bhī

    mar-mar ke sahī lekin ye bojh uThānā hai

    kal mujh ko thā ġham un ab un ko hai ġham merā

    ik vo bhī zamāna thā ik ye bhī zamāna hai

    yaktā.ī-o-kasrat meñ hai farq to bas itnā

    simTe to mirā dil hai phaile to zamāna hai

    allāh ajab shai hai ye jazb-e-mohabbat bhī

    dekheñ vo kisī jānib dil merā nishāna hai

    chhāyā huā har shai par aalam hai javānī

    joban pe hai fasl-e-gul miTne zamāna hai

    is dukh-bharī duniyā auqāt bas itnī hai

    dekho to haqīqat hai samjho to fasāna hai

    vo daur havas thā ye daur-e-mohabbat hai

    jab ġham ko bhulāte the ab ḳhud ko bhulānā hai

    baaqī na kahīñ dil meñ rah jaa.e koī armāñ

    thoḌā bhaTak bhī leñ manzil pe to aanā hai

    the 'ġhālib' o 'momin' bhī yaktā-e-jahāñ lekin

    vo un zamāna thā ye merā zamāna hai

    dam lene bhī de 'sāhir' zālim ye ġham-e-daurāñ

    barbādī-e-ulfat par do ashk bahānā hai

    barbaad-e-mohabbat ka bas itna fasana hai

    rone ko nahin koi hansne ko zamana hai

    kuchh kam na tha un ka gham is par gham-e-hasti bhi

    mar-mar ke sahi lekin ye bojh uThana hai

    kal mujh ko tha gham un ka ab un ko hai gham mera

    ek wo bhi zamana tha ek ye bhi zamana hai

    yaktai-o-kasrat mein hai farq to bas itna

    simTe to mera dil hai phaile to zamana hai

    allah ajab shai hai ye jazb-e-mohabbat bhi

    dekhen wo kisi jaanib dil mera nishana hai

    chhaya hua har shai par aalam hai jawani ka

    joban pe hai fasl-e-gul miTne ka zamana hai

    is dukh-bhari duniya ki auqat bas itni hai

    dekho to haqiqat hai samjho to fasana hai

    wo daur hawas ka tha ye daur-e-mohabbat hai

    jab gham ko bhulate the ab KHud ko bhulana hai

    baqi na kahin dil mein rah jae koi arman

    thoDa sa bhaTak bhi len manzil pe to aana hai

    the 'ghaalib' o 'momin' bhi yakta-e-jahan lekin

    wo un ka zamana tha ye mera zamana hai

    dam lene bhi de 'sahir' zalim ye gham-e-dauran

    barbaadi-e-ulfat par do ashk bahana hai

    Source:

    Sada-e-Dil (Pg. 133)

    • Author: Sahir Bhopali
      • Publisher: Hali Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 1959
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now