barg aur tarah ke hain samar aur tarah ke
barg aur tarah ke haiƱ samar aur tarah ke
is baar haiƱ gulshan ke shajar aur tarah ke
har chand vahÄ« kÅ«za-garÄ« hai sar-e-bÄzÄr
darkÄr haiƱ ab dast-e-hunar aur tarah ke
ÄsÄn nahīƱ ab bhÄ« tirÄ jÄda-e-dushvÄr
darpesh haiƱ ab ham ko safar aur tarah ke
vo log jo chalte haiƱ rah-e-Äm se mutazÄd
milte haiƱ unheƱ rÄhguzar aur tarah ke
uftÄd meƱ yaksÄƱ nahīƱ pÄtÄl kisÄ« kÄ«
haiƱ sab ke liye us ke bhaƱvar aur tarah ke
ÄÄ”hÄz meƱ kuchh aur thÄ« anjÄm kÄ« ummÄ«d
ÄsÄr haiƱ ab pesh-e-nazar aur tarah ke
taqvīm-e-tahayyur meƱ 'kafīl' aa to ga.e ham
gardish meƱ haiƱ ab shÄm-o-sahar aur tarah ke
barg aur tarah ke hain samar aur tarah ke
is bar hain gulshan ke shajar aur tarah ke
har chand wahi kuza-gari hai sar-e-bazar
darkar hain ab dast-e-hunar aur tarah ke
aasan nahin ab bhi tera jada-e-dushwar
darpesh hain ab hum ko safar aur tarah ke
wo log jo chalte hain rah-e-am se mutazad
milte hain unhen rahguzar aur tarah ke
uftad mein yaksan nahin patal kisi ki
hain sab ke liye us ke bhanwar aur tarah ke
aaghaz mein kuchh aur thi anjam ki ummid
aasar hain ab pesh-e-nazar aur tarah ke
taqwim-e-tahayyur mein 'kafil' aa to gae hum
gardish mein hain ab sham-o-sahar aur tarah ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.