barg-o-bar kahan ki yahan hain nangi shaKHen tanha peD

barg-o-bar kahan ki yahan hain nangi shaKHen tanha peD
Syed Amjad Altaf
MORE BYSyed Amjad Altaf
barg-o-bār kahāñ ki yahāñ haiñ nangī shāḳheñ tanhā peḌ
biitī rutoñ pe nauha-kunāñ haiñ nangī shāḳheñ tanhā peḌ
gulzāroñ meñ kahāñ guzar hai ham patjhaḌ ke māroñ kā
aao baiTheñ chal ke jahāñ haiñ nangī shāḳheñ tanhā peḌ
lauT ke ab vo aa na sakeñge jin ke dam se bahārāñ thī
yaad meñ un kī mahv-e-fuġhāñ haiñ nangī shāḳheñ tanhā peḌ
hijr ke phaile lamhoñ meñ haiñ bār-e-ḳhātir sabza-o-gul
koī batāo ham ko kahāñ haiñ nangī shāḳheñ tanhā peḌ
maut-o-hayāt kī had se nikal kar saaya shāyad koī mile
apnī to qismat meñ nihāñ haiñ nangī shāḳheñ tanhā peḌ
barg-o-bar kahan ki yahan hain nangi shaKHen tanha peD
biti ruton pe nauha-kunan hain nangi shaKHen tanha peD
gulzaron mein kahan guzar hai hum patjhaD ke maron ka
aao baiThen chal ke jahan hain nangi shaKHen tanha peD
lauT ke ab wo aa na sakenge jin ke dam se bahaaran thi
yaad mein un ki mahw-e-fughan hain nangi shaKHen tanha peD
hijr ke phaile lamhon mein hain bar-e-KHatir sabza-o-gul
koi batao hum ko kahan hain nangi shaKHen tanha peD
maut-o-hayat ki had se nikal kar saya shayad koi mile
apni to qismat mein nihan hain nangi shaKHen tanha peD
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.