Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

barkaten sab hain ayan daulat-e-ruhani ki

Hasrat Mohani

barkaten sab hain ayan daulat-e-ruhani ki

Hasrat Mohani

MORE BYHasrat Mohani

    barkateñ sab haiñ ayaañ daulat-e-rūhānī

    vaah kyā baat hai us chehra-e-nūrānī

    shauq dekhe tujhe kis aañkh se ai mehr-e-jamāl

    kuchh nihāyat nahīñ terī daraḳhshānī

    mujh se vo sag bhī hai afzal jise izzat ho nasīb

    āstān-e-haram-e-yār pe darbānī

    jab sunā yaad kiyā karte ho tum bhī to mujhe

    kyā kahūñ had na rahī kuchh mirī hairānī

    sa.i-e-ahbāb ko nāhaq hai rihā.ī ḳhayāl

    aur kuchh hai tamannā tire zindānī

    vo tabassum bhī qayāmat hai tirā bād-e-jafā

    ne ho jise ḳhidmat namak-afshānī

    mushkiloñ se jo muqābil huī himmat merī

    qadr baaqī na rahī aish-e-tan-āsānī

    rah gayā jal ke tirī bazm meñ parvāna jo raat

    khīñch ga.ī shakl mirī soḳhta-sāmānī

    rashk-e-shāhī ho na kyuuñ apnī faqīrī 'hasrat'

    kab se karte haiñ ġhulāmī shah-e-jīlānī

    barkaten sab hain ayan daulat-e-ruhani ki

    wah kya baat hai us chehra-e-nurani ki

    shauq dekhe tujhe kis aankh se ai mehr-e-jamal

    kuchh nihayat hi nahin teri daraKHshani ki

    mujh se wo sag bhi hai afzal jise izzat ho nasib

    aastan-e-haram-e-yar pe darbani ki

    jab suna yaad kiya karte ho tum bhi to mujhe

    kya kahun had na rahi kuchh meri hairani ki

    sai-e-ahbab ko nahaq hai rihai ka KHayal

    aur hi kuchh hai tamanna tere zindani ki

    wo tabassum bhi qayamat hai tera baad-e-jafa

    tu ne di ho jise KHidmat namak-afshani ki

    mushkilon se jo muqabil hui himmat meri

    qadr baqi na rahi aish-e-tan-asani ki

    rah gaya jal ke teri bazm mein parwana jo raat

    khinch gai shakl meri soKHta-samani ki

    rashk-e-shahi ho na kyun apni faqiri 'hasrat'

    kab se karte hain ghulami shah-e-jilani ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now