barq-e-ruKHsar-e-yar phir chamki
barq-e-ruḳhsār-e-yār phir chamkī
is chaman kī bahār phir chamkī
tū ne phir is ko saan par rakkhā
tere ḳhanjar kī dhaar phir chamkī
mere girye se āb-o-tāb aayā
sūrat-e-rozgār phir chamkī
ḳhūn-e-āshiq se vo zah-e-dāman
dam-e-shamshīr vaar phir chamkī
dekhiyo paañv rakh diyā kis ne
aaj kyuuñ nok-e-ḳhār phir chamkī
vo jo ik Tiis sī hai dil meñ mire
rah ke be-iḳhtiyār phir chamkī
'mus.hafī' kī jo tū ne dar-rezī
shā.erī terī yaar phir chamkī
barq-e-ruKHsar-e-yar phir chamki
is chaman ki bahaar phir chamki
tu ne phir is ko san par rakkha
tere KHanjar ki dhaar phir chamki
mere girye se aab-o-tab aaya
surat-e-rozgar phir chamki
KHun-e-ashiq se wo zah-e-daman
dam-e-shamshir war phir chamki
dekhiyo panw rakh diya kis ne
aaj kyun nok-e-KHar phir chamki
wo jo ek Tis si hai dil mein mere
rah ke be-iKHtiyar phir chamki
'mushafi' ki jo tu ne dar-rezi
shaeri teri yar phir chamki
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwal) (Pg. 451)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.