barson ke baad un se gale mil rahe hain hum
barsoñ ke baa'd un se gale mil rahe haiñ ham
phir se bahār aa.ī hai aur khil rahe haiñ ham
siine pe apne haath zarā rakh ke ye batā
kyā yaad hai tujhe ki tirā dil rahe haiñ ham
jab se kahā hai us ne kisī se nahīñ milo
ḳhud apne aap se bhī kahāñ mil rahe haiñ ham
barson ke ba'd un se gale mil rahe hain hum
phir se bahaar aai hai aur khil rahe hain hum
sine pe apne hath zara rakh ke ye bata
kya yaad hai tujhe ki tera dil rahe hain hum
jab se kaha hai us ne kisi se nahin milo
KHud apne aap se bhi kahan mil rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.