Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bartar samaj se koi fankar bhi nahin

Shabab Lalit

bartar samaj se koi fankar bhi nahin

Shabab Lalit

MORE BYShabab Lalit

    bartar samāj se koī fankār bhī nahīñ

    fankār kyā jo sāhab-e-kirdār bhī nahīñ

    har chand jāñ-balab haiñ sitam se sharīf log

    laḌne ko zulm se koī tayyār bhī nahīñ

    nasl-e-javāñ savār hai ḳhvāboñ naav meñ

    us par sitam ki haath meñ patvār bhī nahīñ

    khoTā Takā huuñ phir bhī kabhī kaam ā.ūñgā

    mujh ko na pheñk itnā maiñ be-kār bhī nahīñ

    urdu zabān maiñ vo kohna kitāb huuñ

    jis vatan meñ koī ḳharīdār bhī nahīñ

    ham ai 'shabāb' aise muqaddar kyā kareñ

    ḳhvābīda jo nahīñ hai to bedār bhī nahīñ

    bartar samaj se koi fankar bhi nahin

    fankar kya jo sahab-e-kirdar bhi nahin

    har chand jaan-balab hain sitam se sharif log

    laDne ko zulm se koi tayyar bhi nahin

    nasl-e-jawan sawar hai KHwabon ki naw mein

    us par sitam ki hath mein patwar bhi nahin

    khoTa Taka hun phir bhi kabhi kaam aaunga

    mujh ko na phenk itna main be-kar bhi nahin

    urdu zaban ki main wo kohna kitab hun

    jis ka watan mein koi KHaridar bhi nahin

    hum ai 'shabab' aise muqaddar ka kya karen

    KHwabida jo nahin hai to bedar bhi nahin

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 235)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now