bas ek fasl darmiyan rah gai
bas ek fasl darmiyān rah ga.ī
zamīn zer-e-āsmān rah ga.ī
vo ḳhvāb-sā'ateñ ki mere ghar meñ jab
shab-e-visāl mehmān rah ga.iiñ
mire vujūd par tirī palak-palak
jhukī misāl-e-sā.ebān rah ga.ī
havā ke haath meñ du'ā kā tiir thā
laraz ke ek pal kamān rah ga.ī
mirā vujūd thā ki shahr-e-ḳhāmushī
sajī-sajā.ī har dukān rah ga.ī
kaḌā safar thā hijr se visāl tak
jahāñ ki lazzat-e-gumān rah ga.ī
bas ek fasl darmiyan rah gai
zamin zer-e-asman rah gai
wo KHwab-sa'aten ki mere ghar mein jab
shab-e-visal mehman rah gain
mere wujud par teri palak-palak
jhuki misal-e-saeban rah gai
hawa ke hath mein du'a ka tir tha
laraz ke ek pal kaman rah gai
mera wujud tha ki shahr-e-KHamushi
saji-sajai har dukan rah gai
kaDa safar tha hijr se visal tak
jahan ki lazzat-e-guman rah gai
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 32)
- Author :Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.