bas ek KHata ne zindagi ki aisa kaam kar diya

bas ek KHata ne zindagi ki aisa kaam kar diya
Ahteramulhaque Siddiqui
MORE BYAhteramulhaque Siddiqui
bas ik ḳhatā ne zindagī kī aisā kaam kar diyā
tamām 'umr ke liye namak-harām kar diyā
ḳhudā kā zikr chhoḌ kar zarā jo rizq par gire
ḳhudā ne un kabūtaroñ ko zer-e-dām kar diyā
'urūj aur zavāl kā ye khel bhī 'ajīb hai
kisī ko shaah kar diyā koī ġhulām kar diyā
'azīm tū rahīm tū karīm tū tirā karam
ġhubār-e-ḳhāk ko rahīn-e-ehtirām kar diyā
namāz kī sa'ādateñ navāz kar miyāñ 'sharar'
tumheñ ḳhudā ne do jahāñ meñ shād-kām kar diyā
bas ek KHata ne zindagi ki aisa kaam kar diya
tamam 'umr ke liye namak-haram kar diya
KHuda ka zikr chhoD kar zara jo rizq par gire
KHuda ne un kabutaron ko zer-e-dam kar diya
'uruj aur zawal ka ye khel bhi 'ajib hai
kisi ko shah kar diya koi ghulam kar diya
'azim tu rahim tu karim tu tera karam
ghubar-e-KHak ko rahin-e-ehtiram kar diya
namaz ki sa'adaten nawaz kar miyan 'sharar'
tumhein KHuda ne do jahan mein shad-kaam kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.