bas ek nigah mein qissa tamam hota hai
bas ik nigāh meñ qissa tamām hotā hai
to kyā ye vāqa'ī itnā sā kaam hotā hai
kisī ke sard ravayye pe ḳhāmushī kā lihāf
ye intiqām bhī kyā intiqām hotā hai
kabhī kabhī koī luqma kahīñ kahīñ koī kaam
halāl hote hue bhī harām hotā hai
firāq-e-yār se kyā kyā umiid thī lekin
ye ranj bhī koī do-chār gaam hotā hai
asiir asiir hī hotā hai qaid koī bhī ho
kisī bhī shakl meñ ho daam daam hotā hai
shu'ūr jis meñ na ho us meñ shā'irī kyā ho
jo ḳhush-badan ho vahī ḳhush-ḳhirām hotā hai
vo shaḳhs yuuñ to kisī kaam kā nahīñ lekin
sunā hai us ke yahāñ intizām hotā hai
kabhī kabhī baḌī mushkil meñ Daal dete haiñ
vo jin kā dil meñ bahut ehtirām hotā hai
khaḌā huuñ kitne hī rishtoñ ko thaam kar 'javvād'
aur aise meñ jo mirā inhidām hotā hai
bas ek nigah mein qissa tamam hota hai
to kya ye waqa'i itna sa kaam hota hai
kisi ke sard rawayye pe KHamushi ka lihaf
ye intiqam bhi kya intiqam hota hai
kabhi kabhi koi luqma kahin kahin koi kaam
halal hote hue bhi haram hota hai
firaq-e-yar se kya kya umid thi lekin
ye ranj bhi koi do-chaar gam hota hai
asir asir hi hota hai qaid koi bhi ho
kisi bhi shakl mein ho dam dam hota hai
shu'ur jis mein na ho us mein sha'iri kya ho
jo KHush-badan ho wahi KHush-KHiram hota hai
wo shaKHs yun to kisi kaam ka nahin lekin
suna hai us ke yahan intizam hota hai
kabhi kabhi baDi mushkil mein Dal dete hain
wo jin ka dil mein bahut ehtiram hota hai
khaDa hun kitne hi rishton ko tham kar 'jawwad'
aur aise mein jo mera inhidam hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.