Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bas ki chun badr-zamana ye ghaTata hai mujhe

Meer Hasan

bas ki chun badr-zamana ye ghaTata hai mujhe

Meer Hasan

MORE BYMeer Hasan

    bas ki chuuñ badr-zamāna ye ghaTātā hai mujhe

    din-ba-din aur aalam nazar aatā hai mujhe

    husn nairañgī-e-ālam ajab rañg se kuchh

    ain nairañgī meñ sau rañg dikhātā hai mujhe

    itnā ma.alūm to hotā hai ki jaatā huuñ kahīñ

    koī hai mujh meñ ki mujh se liye jaatā hai mujhe

    yaad maiñ kis karūñ mujh ko kahāñ hosh-o-havās

    apnī yaad se ye ishq bhulātā hai mujhe

    turfa aalam hai ki har ek se vo māya-nāz

    aap rahtā hai alag aur bhiḌātā hai mujhe

    chhoḌ kar mujh ko vo tanhā koī jaatā hai kahīñ

    ye bhī ik chheḌ hai us ko ki kuḌhātā hai mujhe

    mujh ko kyuuñ khīñche liye jaa.e hai taqsīr mirī

    umr Tuk rah to sahī kaun bulātā hai mujhe

    mujh meñ aur dil meñ sadā hai sabaq-e-ishq dars

    maiñ sunātā huuñ use aur vo sunātā hai mujhe

    mere nāḳhūnoñ meñ maiñ tujh se kiye chaar abrū

    apnī kyā teġh se har dam Darātā hai mujhe

    tā.ir-e-rañg-e-hinā huuñ to lagūñ tere haath

    chuTkiyoñ meñ abas yaar uḌātā hai mujhe

    tujh ko manzūr jafā mujh ko hai matlūb vafā

    na ye bhātā hai tujhe aur na vo bhātā hai mujhe

    jo mirī chiḌh hai usī baat hai tujh ko zauq

    aah dīda-o-dānista khujātā hai mujhe

    phir phir ā.īne meñ muñh dekhne lagtā hai 'hasan'

    ek dam aap meñ vo shoḳh jo paatā hai mujhe

    bas ki chun badr-zamana ye ghaTata hai mujhe

    din-ba-din aur hi aalam nazar aata hai mujhe

    husn nairangi-e-alam ka ajab rang se kuchh

    ain nairangi mein sau rang dikhata hai mujhe

    itna malum to hota hai ki jata hun kahin

    koi hai mujh mein ki mujh se liye jata hai mujhe

    yaad main kis ki karun mujh ko kahan hosh-o-hawas

    apni hi yaad se ye ishq bhulata hai mujhe

    turfa aalam hai ki har ek se wo maya-naz

    aap rahta hai alag aur bhiData hai mujhe

    chhoD kar mujh ko wo tanha koi jata hai kahin

    ye bhi ek chheD hai us ko ki kuDhata hai mujhe

    mujh ko kyun khinche liye jae hai taqsir meri

    umr Tuk rah to sahi kaun bulata hai mujhe

    mujh mein aur dil mein sada hai sabaq-e-ishq ka dars

    main sunata hun use aur wo sunata hai mujhe

    mere naKHunon mein main tujh se kiye chaar abru

    apni kya tegh se har dam tu Daraata hai mujhe

    tair-e-rang-e-hina hun to lagun tere hath

    chuTkiyon mein tu abas yar uData hai mujhe

    tujh ko manzur jafa mujh ko hai matlub wafa

    na ye bhata hai tujhe aur na wo bhata hai mujhe

    jo meri chiDh hai usi baat ka hai tujh ko zauq

    aah tu dida-o-danista khujata hai mujhe

    phir phir aaine mein munh dekhne lagta hai 'hasan'

    ek dam aap mein wo shoKH jo pata hai mujhe

    Source:

    Deewan-e-Meer Hasan (Pg. 118)

    • Author: Meer Hasan
      • Edition: 1912
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now