Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bas saliqe se zara barbaad hona hai tumhein

Shahram Sarmadi

bas saliqe se zara barbaad hona hai tumhein

Shahram Sarmadi

MORE BYShahram Sarmadi

    bas salīqe se zarā barbād honā hai tumheñ

    is ḳharābe meñ agar ābād honā hai tumheñ

    āshnā tahzīb-e-ḳhāmoshī se honā shart hai

    dosto gar vāqa.ī fariyād honā hai tumheñ

    vasl saa.at tumhāre qurb se mujh par khulā

    ik na ik din hijr mī.ād honā hai tumheñ

    ishq karte vaqt mere zehn meñ hargiz na thā

    shā.erī meñ is tarah ījād honā hai tumheñ

    maiñ ḳhudā ke faisle se ḳhush huuñ ye bhī lutf hai

    merī nā-ta.amīr buniyād honā hai tumheñ

    bas saliqe se zara barbaad hona hai tumhein

    is KHarabe mein agar aabaad hona hai tumhein

    aashna tahzib-e-KHamoshi se hona shart hai

    dosto gar waqai fariyaad hona hai tumhein

    wasl ki saat tumhaare qurb se mujh par khula

    ek na ek din hijr ki miad hona hai tumhein

    ishq karte waqt mere zehn mein hargiz na tha

    shaeri mein is tarah ijad hona hai tumhein

    main KHuda ke faisle se KHush hun ye bhi lutf hai

    meri na-tamir ki buniyaad hona hai tumhein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now