bas tere bare mein socha karta hun
bas tere baare meñ sochā kartā huuñ
yuuñ tanhā.ī ko maiñ tanhā kartā huuñ
ik achchhā.ī mujh meñ ab bhī hai baaqī
jhagḌe vaalī baat ko Taalā kartā huuñ
haath uThā kar mujh ko kyā mil jā.egā
shā.ir huuñ lafzoñ se maarā kartā huuñ
dhokā detā hai jab bhī koī mujh ko
maiñ us pal ḳhud par hī ġhussa kartā huuñ
baap banegā beTā samjhegā tab vo
aadhī roTī ko kyoñ aadhā kartā huuñ
bas tere bare mein socha karta hun
yun tanhai ko main tanha karta hun
ek achchhai mujh mein ab bhi hai baqi
jhagDe wali baat ko Tala karta hun
hath uTha kar mujh ko kya mil jaega
shair hun lafzon se mara karta hun
dhoka deta hai jab bhi koi mujh ko
main us pal KHud par hi ghussa karta hun
bap banega beTa samjhega tab wo
aadhi roTi ko kyon aadha karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.