Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bas ye hua ki rishton ke sab hath kaT gae

Khurshid Sahar

bas ye hua ki rishton ke sab hath kaT gae

Khurshid Sahar

MORE BYKhurshid Sahar

    bas ye huā ki rishtoñ ke sab haath kaT ga.e

    ham log apne-āp aapas meñ baT ga.e

    āsār-e-mumkināt the jitne vo ghaT ga.e

    sūraj nikal ke aayā to kohre bhī chhaT ga.e

    ye buz-dilī thī apnī ki kuchh bhī nahīñ kahā

    hone diyā jo honā thā raste se haT ga.e

    un se to ke milnā bhī dushvār ho gayā

    masrūfiyat ke naam pe ham bhī simaT ga.e

    ham kyā kaheñ ki kaise himāqat ye ho ga.ī

    jo thā sabaq bhulāne us ko bhī raT ga.e

    dīvār-o-dar se ab bhī rifāqat vahī rahī

    tanhā.iyoñ meñ aa.e to un se lipaT ga.e

    'ḳhurshīd' us pe sochiye kis qusūr hai

    āsūdgī ke lamhe bhī aa kar palaT ga.e

    bas ye hua ki rishton ke sab hath kaT gae

    hum log apne-ap hi aapas mein baT gae

    aasar-e-mumkinat the jitne wo ghaT gae

    suraj nikal ke aaya to kohre bhi chhaT gae

    ye buz-dili thi apni ki kuchh bhi nahin kaha

    hone diya jo hona tha raste se haT gae

    un se to ja ke milna bhi dushwar ho gaya

    masrufiyat ke nam pe hum bhi simaT gae

    hum kya kahen ki kaise himaqat ye ho gai

    jo tha sabaq bhulane ka us ko bhi raT gae

    diwar-o-dar se ab bhi rifaqat wahi rahi

    tanhaiyon mein aae to un se lipaT gae

    'KHurshid' us pe sochiye kis ka qusur hai

    aasudgi ke lamhe bhi aa kar palaT gae

    RECITATIONS

    Khurshid Sahar

    Khurshid Sahar,

    Khurshid Sahar

    bas ye hua ki rishton ke sab hath kaT gae Khurshid Sahar

    Source:

    Rifat mere khawab ki (Pg. 106)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now