Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

basanti rut hai sab phulon ko tu mahfuz rakhna

Rafia Shabnam Abidi

basanti rut hai sab phulon ko tu mahfuz rakhna

Rafia Shabnam Abidi

MORE BYRafia Shabnam Abidi

    basantī rut hai sab phūloñ ko mahfūz rakhnā

    mere allah khilī sarsoñ ko mahfūz rakhnā

    saroñ ko kāTne fasl phir se aa ga.ī hai

    in afshāñ se bharī māñgoñ ko mahfūz rakhnā

    jaleñ jab ghar to yā-rab tujh se itnī iltijā hai

    dupaTToñ se Dhake chehroñ ko mahfūz rakhnā

    fazāoñ meñ hazāroñ baaz mañDlāne lage haiñ

    har āñgan sabhī chiḌiyoñ ko mahfūz rakhnā

    abhī ḳheme bhī haiñ kuuze bhī haiñ paanī nahīñ hai

    qasam abbās bachchoñ ko mahfūz rakhnā

    buzurgoñ duā.eñ aaj kitnī lāzmī haiñ

    javānoñ ke liye būḌhoñ ko mahfūz rakhnā

    savā neze pe sūraj aa rahā hai aa na jaa.e

    havāoñ ke ḳhunuk jhoñkoñ ko mahfūz rakhnā

    sulagtī rut meñ 'shabnam' ye tirā farz Thahrā

    chaman meñ ab ke sab kaliyoñ ko mahfūz rakhnā

    basanti rut hai sab phulon ko tu mahfuz rakhna

    mere allah khili sarson ko tu mahfuz rakhna

    saron ko kaTne ki fasl phir se aa gai hai

    in afshan se bhari mangon ko tu mahfuz rakhna

    jalen jab ghar to ya-rab tujh se itni iltija hai

    dupaTTon se Dhake chehron ko tu mahfuz rakhna

    fazaon mein hazaron baz manDlane lage hain

    har aangan ki sabhi chiDiyon ko tu mahfuz rakhna

    abhi KHeme bhi hain kuze bhi hain pani nahin hai

    qasam abbas ki bachchon ko tu mahfuz rakhna

    buzurgon ki duaen aaj kitni lazmi hain

    jawanon ke liye buDhon ko tu mahfuz rakhna

    sawa neze pe suraj aa raha hai aa na jae

    hawaon ke KHunuk jhonkon ko tu mahfuz rakhna

    sulagti rut mein 'shabnam' ye tera hi farz Thahra

    chaman mein ab ke sab kaliyon ko tu mahfuz rakhna

    Source:

    Shair (Pg. 30)

      • Publisher: Nazir Noman Siddiqui
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now