aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

basiraton ka nazar ehtiram karti hai

Nadeem Fazli

basiraton ka nazar ehtiram karti hai

Nadeem Fazli

MORE BYNadeem Fazli

    basīratoñ nazar ehtirām kartī hai

    samā.atoñ se ḳhamoshī kalām kartī hai

    ḳhizāñ raaz jo āñkhoñ pe munkashif ho jaa.e

    to zard rut bhī bahāroñ kaam kartī hai

    kahāñ zarf kahāñ vaqār ye duniyā

    nigāh jeb pe rakh kar salām kartī hai

    zarūrateñ dar-e-shāhī pe le ke jaatī haiñ

    mirī anā mujhe apnā ġhulām kartī hai

    hisār-e-sūd-o-ziyāñ se nikāl de yā-rab

    ye zindagī mirā jiinā harām kartī hai

    buland-o-past se parvāz māvarā hai mirī

    ye kā.enāt mujhe zer-e-dām kartī hai

    ḳhudā shukr ki maiñ ḳhud se āshnā huuñ 'nadīm'

    mirī nigāh mirā ehtirām kartī hai

    basiraton ka nazar ehtiram karti hai

    samaaton se KHamoshi kalam karti hai

    KHizan ka raaz jo aankhon pe munkashif ho jae

    to zard rut bhi bahaaron ka kaam karti hai

    kahan ka zarf kahan ka waqar ye duniya

    nigah jeb pe rakh kar salam karti hai

    zaruraten dar-e-shahi pe le ke jati hain

    meri ana mujhe apna ghulam karti hai

    hisar-e-sud-o-ziyan se nikal de ya-rab

    ye zindagi mera jina haram karti hai

    buland-o-past se parwaz mawara hai meri

    ye kaenat mujhe zer-e-dam karti hai

    KHuda ka shukr ki main KHud se aashna hun 'nadim'

    meri nigah mera ehtiram karti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now